Wo Aadmi Hay Aam Sa
Ik Qissa Na tmam Sa
Na Lehja Bemisal Sa
Na Baat Mein Kmaal Hay
Hay Daikhnay Mein Aam Sa
Udaasieun Ki Shaam Sa
Jaisay Ik Raaz Hay
Khud Se Beniaz Hay
Zindgi Ki Stage Per
Aam Sa Kirdar Hay
Na Mahjbinoon Se Rubt Hay
Na Shertoon Ka Zubht Hay
Ranjha Na Qais Hay
Insha Na HI Faiz Hay
Wo Paiker.e.Ikhlaas Hay
Wfaa, Dua Aur Aas Hay
Jo Baat Us Ki Khaas Hay
Wo Shukhs Khud Shnaas Hay
Tum Hi Kro Ya Faisla
Wo Aadmi Hay Aam Sa
Ya Phir Bohut Hi Khaas Hay.
Re: Wo aadmi.....
Nice.
Re: Wo aadmi.....
thanx
Re: Wo aadmi…
good effort! keep wrting n keep sharing :k:
Re: Wo aadmi…
:queen: thanx
Re: Wo aadmi…
Lovely:k:…bohat khoob fazeelat…beautifully put. Thanx for sharing ![]()