Re: With no offense to women
Its hard to beleive that some posters actually beleive the types of things stated by hyperactive....shallow and ignorant ideas to say the least.
Traditional family life is something that is desired by many, both in the west and in the east. Where mom can be home with the little ones at least while they're young, and Dad brings home the paycheck.
Thats not possible many times, esp in the west where cost of living is so high. Its also a personal choice as to whether little ones have mommy at home or at work. Dont kid yourselves, as I've said before there are many women who can have nice family life AND a career - when the marriage is based on mutual understanding and support. I have seen it work nicely for many couples and their children. It isnt such a bad thing, either for your girl children to see a professional Mom going off to her job, it sets a good example. And boy children can see that both Moms AND Dads can go to work, making them less prone to gender bias.
Actually, why SHOULDNT a woman be at least capable of earning a living for her family if the need or desire should arise? I used to have a very good career and although I'd not earn like I did before, it IS a comfort to know that I'd be able to take care of my family if god forbid anything ever happened to my husband. If this were not the case, what would I do if something happened to him? Go out and desperately seek a new husband to support me and my kids? Sorry, that prospect just doesnt cut it with me.
Bahna agar aap muslim hain to Assalam o Alaikum aur agar aap non muslim hain to Hi.
Aap ki post kafi jarayhana hai is liaay kay aap job karti theen ya hain jo bhi.
Daikhain bahna insaan kuch kaam karay to is ka mutlub yay naheen hai kay wo Islam ko ghalat sabit karnay pay tul jaay.
Itminaan say sunain.
Aap job karti theen ya hain. Us kay liaay kai baton kay baad faisla kia ja sakta hai kay wo ghalat tha ya sahi.
1. Agar kisi majboori say karti theen to bohat achcha karti theen. Ub majboori bhi wo thi kay waqai majboori thi ya khud sakhta majboori.
Jaiz majboorian darj e zail ho sakti hain.
1. Shohar ko job naheen mil rahi thi
2. shohar jobless thay.
3. Koi aur rasta naheen tha is kay baghair.
4. Jinka shohar na ho (mar chuka ho, ya talaq day chuka ho, ya alaihdgi ikhtiar kar chuka ho aur biwi aur bal buchchon ka kharcha na daita ho)
5. Buchchay bhookay rah rahay thay
6. Khud bhooki rah rahi theen
7. Tun dhapnay ko kapr'ay naheen thay
8. buchon kay tun dhapnay kay kapr'ay naheen thay
Filhal itna hi yaad hai aur intehai aham
In tamam soorton main bilkul jaiz hai 100% jaiz hai. Agar in tamam soorton kay bawajood aap nain job naheen ki karnay ki jismani aur kisi tarha ki salahiaat rakhteen theen phir bi khairat lia to wo bhi na jaiz hai. Phir khud kama kar khan bahtar hai.
Ub mujboor aap kis ko kahti hain yay different logon ki different hogi. Jo majboori naheen ho sakti.
Misaal kay tor par.
1. Ovan naheen hai yay ashaish hai par aap kay paas naheen to aap samjh sakti hain kay aap majboor hain kay job karain aur ghar main ovan lain.
Haan choolha naheen to wo aham hai uskay liaay jaiz hai per oven kay liaay na jaiz.
2. Mashaly peesnay ki mashine naheen wo majboori naheen uskay baghair bhi khana puk sakta hai. wo mujboor naheen.
Tv, fridge, computer, laptop, kursi, table, moblie aur 50 jor'ay kapray 50 jor'ay jootay aap kay paas naheen, Masharay main apnon ya ghairon say muqbalay kay liaay aap kay paas ghar, gar'i ya koi aur cheez naheen ya bohat paisay naheen hain.
To yay tamaam cheezain ghair zaroori hain aur asaish main atain hain.
Agar aap kay husband ya koi mard bhai ya baap aap ko itna la kar deta hai kay aap do waqt ka khana poori family ko khila sakain, do do jor'ay har kisi kay pass kapr'ay hon kay aik gunda honay ki soorat main jism par doosra kapr'a ho dho lenay tuk, ghar main pakanay kay liay choolha ho to phir aap pay hargiz jaiz naheen kay aap job karain kioon kay aisi soorat main aap gunah gar hon gi.
Na sirf ghar say bahar nikalnay ki gunahgar.
ghair mahram kay samnay anay ki gunahgar.
Ghair mahram say job pay baat aur contact karnay ki gunahgar (job main majboori main karna hota hai)
Logon ki un nazron ki gunahgar jo aap kay faishion aur kapr'on ki wajah say aap pay utheen.
agar aap kapr'ay aisay pehnti hain jo jism kay wo hissay zahir karta hai jissay islam nain dhaknay kaha hai to unko zahir karnay ki gunahgar.
bohat si khuwateen parda naheen karteen, sir naheen dhakti, full sleeve kapr'ay naheen pahanti, loose dress naheen pahanti. In sub ki gunahgar jo Islami taqazon kay mutabiq na hon.
Doosri aurton ko apnay job karnay ki wajah say uksanay ki zimmadar.
Apnay mard ko gunahgar bananay ki zimmadar kay us nain aap ko roka naheen bilawajah job karnay say. Roz e qiamat Allah tala un say hisab lay ga aap say pahlay kay tumhain zimmadari sonpi thi iski to tum nain kioon issay ghair islami kamon say naheen roka.
ghar kay wo tamama mard jo baligh hain aap ko roktay naheen job kar nay say wo sub gunahgar.
Achcha mana kioon kia gia hai.
Is liaay kay abhi abhi ilm main izafa huwa is liaay qoute kar raheen jo meray dil o dimagh ko bila hail o hujjat kay utar gai warna kisi ki baat itni jaldi hamain pasand naheen ati saz o nadir hi.
aik site ka line dia tha dawa i dil nain AANA ki Amna kay silsilay main us pay hum nain parha. Females kay post, chating aur emails kay zariay mardon say talluqat walay sawal pay likha tha koi qurani ayat thi ghalayban
"mardon kay dilon main fitna hota hai"
*Yay to hum sub achchi tarha jantain hain kay inkay yay fitnay say kum naheen. *
To Kabhi bhi job pay akelay pun ki wajah say koi aap say budtamizi kar sakta hai Ya rastay main ghar atay waqt bilawajah hi tung kar saktay hai buri niaayat aur buri nazar dal sakta hai aghawa kar sakta hai rape kar sakta hai qatl kar sakta hai koi bhi aur bila wajah bhi.
Misal lain lain Amna sahiba ka kay bharay majmay main unkay saath kia kia.
Jub burai hoti hai logon kay dilon main khas kar mardon main to yay sub mil jatain hain jub mamla aurat ka ho to.
Chahay yay net hi kioon na ho.
Aik dafa hum chat room main thay hum sirf wahan ja kar logon ki guftugu sunna kartay thay.
Aik doosray ko room main khulaya aap bata raha thay yaar jaa main nain aik lar'ki phansai hai ub tu ja usko phansa waghaira waghaira abhi online hai. baqaida mic pay bhi bol rahay thay Hum nain forun us address ko message kia kay yay aap kay baray main is tarha baat kar rahain hain. Wo to hum pay hi barham ho gai khair hum nain to apna farz nibha dia unkay barhami say hamain kia farq par'ta hai.
Phir kia tha us nain unlogon ko bhi bata dia aur unhon nain hamain khoob message kiaay. Jub say hamaray us email pay sub khoob wahiat links bhaijtay hain aur hum sub ko report aur block kartay rahtain hain. Off line messages main. So hum nain ussay chor' hi dia use karna.
Would you believe jo ahain bhar kar larkion ka intezar kartay rahtain hain. Hum uski awaz achchi tarha pehchantain hain aur aik site pay hum nain unko dars denay walon kay sathion main suna.
Jub hum pay raz afshaan howa kay akhir yay 24 ghuntay online kaisay rahtay hain.
Hum bata dain hum nain us sn ko lar'ka zahir kia tha laikin hamaray bata denay pa wo sajah gaay kay hum lar'ki hain. Warna message pay message bhaijtay rahtain hain.
Ziad lubi ho gai hai post.
Bahar haal buchchay bhi ignore hotay hain khuwah wo chotain hon kay bar'ay wo jub school say ghar atain hain to unhain kisi qism ka khauf naheen hota kay akelay ghar main wo dakhil hon gay kia pata koi chor dakoo na baitha ho ya kuch aur na ho. waghair waghaira
Ghar main maan pay nazar par'nay say aik to kisi qism ka khauf naheen hoga. Doosray laad karanay aur karwanay ka mauqa milta hai, nakrhray karnay aur karwanay ka mauqa milta hai yay sub cheezain buchchay kay dil o dimagh main sukoon o itminaan ka bais hoteen hain sub say bar'h kar tahaffuz feel kartain hain khuwaah aap unhain lift karain ya na karain. Ya aap apnay kaam main masroorf hon.
Allah tala maan baap kioon deta hai warna kia zaroorat thi Allah tala to palta bhi aur subh kuch karta hai.
Inhi sub baton kay liay kay hum unhain achcha insaan banaain unhain deeni aur duniawi taleem dain sahi o ghalat sikhain achcha bura saikhain. Jub Allah nain hamain zimmadari di hai to hamain ussay poora bhi karna chahyay na kay.
Paglon ki tarha paison kay peechay raal tapkatay huway ghar say maray phirain. Job ki raston ki aur har tarha ki parayshanion say quzar kar mahnat o mushaqqat karain buchchon ko ignore karain apni nufs aur jism pay zulm karain.
Jub Allah nain itni achchi asaish di hai ghar main aram say usko sanwarain buchchon ko sanwarain to kioon na hum us ashaish ko avail karain jub kay Allah nain hamain aik do musibatain pahlay hi di huwi hain jo jaan jhonkon say kum naheen.
Sochain bemari ki soorat main bhi job pay jana par'ta hai. Wo bhi muskil ka kaam hai Pregnancy kay dauran bhi intehai mushkil kaam hai.
Sub sa bar'a masla jub buchchay bemar hotain hain to maan ka dil phir sirf unmain utka hota hai dhiyaan bhi aisi soorat main job sahi tor par naheen kar pati uski gunahgar apni zimmadari sahi tor par anjam na denay pay bachcha bemar aap ka masla hai jinhon nain aap ko job di hai unka kaam to unhain waisa hi chahyay hota hai khuwah aap ka buchcha bemar ho kay aap.
Husband bhi bemar ho to aap ka dil atka rahay ga us kay liaay aur concentrate naheen kar paingi apnay kaam pay.
Is kay ilawa bhi bohat say masail hain.
To aap batain aap ki kia majboori thi jis kay bina pay aap job kar raheen theen.
Haan Allah na karay husband mar jaay to bashak aap ko jaldi karnay chahyay nikah ki Islam nain kaha hai main bhi mukummal tor par is ki himayati hoon.
Bhagtay phirain jaisa kay aap nain kaha doosray husband kay liaay kioon naheen apnay jaiz huq kay liaay kioon na talash karain. Per uskay liaay yay bhi naheen kay aap sar'kon pay prostitutes ki tarha talash shuru kar dain us kay liaay bhi islam nain jaiz tareeqay batain hain aur aap khub bhi talash kar sakti hain. ya kisi say karwa sakti hain.
Agar naheen karti aap doosra nikah to aap ki choice hai. Per wo bhi us soorat main na jaiz hai kay agar aap khud par control naheen rakh pateen aur na jaiz talluqat bana leteen hain bajaay nikah kay to wo bhi ghalat hai. Agar aap khud ko conrol kar sakti hain phir baghair nikah rah sakti hain. Phir aisi soorat main job karna 100% jaiza hai shohar wafat pa chuka aur koi kafali naheen karta to zaroor job karna chahyay.
Ub aap khud daikhain aap kis zumray main ati hain main naheen kahoon gi aur na kah sakti hoon kay aap nain job kia ya karti hain to ghalat karti hain na jaaiz hai.
Aap ka dil khud aap ko gawahi deta ho ga agar aap ko yay tamaam maloomat hon gi to agar naheen theen meri post say huwi t ub apnay dil say gawahi lain. Dil hamaysha Suchchi gawahi deta hai kioon kay dilon main Allah busta hai.
Dilon ki gawahi kabhi khatam naheen hoti aur ghalat naheen hoti.
Meri koi baat buri lagay to mazrat chahti hoon. Koi baat Islam kay munafi ho to nishaandhi koi bhi kar sakta hai sahi ho to haimayat kar kay sawab e darain hasil kar sakta hai.
Allah knows better. Allah hum sub ko Islam sahi samjhnain aur usko sahi tor pay amal karnay ki taufeeq ata farmaay ameen.
Haan aap ki tarha hum bhi is baat kay qail hain kay har lar'ki aur har aurat ko is qabil zaroor hona chahyay kay jub zaroorat par'ay to apnay pairon pay khar'ay ho sakain kisi kay mohtaj na banain kay wo misuse karay aur na kisi kay agay haath phailain. Balkay apni aur family ki kafalat kar sakhain.
Aisi taleem hasil karain. Aisi himmat paida karain aur** hoslay say kaam lain aur waqt anay par jawan mardi ka saboot dain.**
Us say pehlay chukay say ghar main baithi rahain. Apna tamasha bananain ghar say bahir na niklay. Kisi rahzan o budkhuwah kay haath na lug sakain.
Allah her lar'ki aur aurat ko aur uski izzat o hurmat ko her jagah mahfooz rakhay khuwah net ho kay aam rastay ya ghar. Ameen summa Ameen.