Will this nullify your fast?

Re: Will this nullify your fast?

mufsidaat-e-soom (roza) main aisee koi baat kutub main mojood nahi jo roza ko faasid ker day

taham maini is sawal ko ik Alima say deryaft kia un ka kehna hai ..is terah say kehna Taqwa kay khilaaf hai ...gunahgaar ho ga ..tahaam roza us ka baaqi rahay ga

waysay mera apna zaati khiyaal hai k woh shiekh k kehnay ka maqsad kuch or ho ga

jaisai k hum kehtay woh shakhs jo roza to rakhay lakin farz ibaaadat ada na keray aisai shaks k rozay ka kia faida yeh to aisa hee hoa k jaisay ik shaks sara din bus bhooka piyasa raha ..is shaks kay opper say rozay ka yeh farz to saaqit ho gaya lakin ajar k layhaaz say khaale raha

tlk app nay us sheikh say confirm to kerna tha k un ki baat ka maqsad kia hai ?