Why can't you criticise

Re: Why can’t you criticise

TLK > main koi wakalat nahi ker rahee … mojooda waqt main TTP jis bhi tanzeem ka nam hai ya is nam per jo log yeh sub shar fasaad ker rahay hain sub wajib ul qatal or wajib ul laanat hain ..yeh her muslman kehta or samjhta hai

or jis TTP ko hum nay acha kaha tha yeh woh mujaahideen thay jo afghanistan main honay walay jihaad k waqt samnay ayee thay agar un ka koi group ajj bhi usee ikhlas -e- neyat k sath is ser zameen per mojood hay to mai un ko acha he kahon gee ..

haan lakin waqt ka taqaza hay k agar un k NAM per Fasaadi paida ho rahay hain to is naam ka Tag apnay opper say hata dain ..takay jihaad ka aqeeda or islam k nam per ghalat taasur na phaylay

mujhay khud is bat per confusion hay k agar saree TTP ik hee hay to TTP pakistan or TTP afghanistan or woh TTP jis ko R.A.W chalaati hai yeh naam kis terah wujood main ayee? yeh kion kaha ja raha hay k kal ka attack R.A.W k zair-e-saya palnay walee TTP nay kia ,?? is say to saaf pata chalta hay k sirf Jihaad k aqeeda khatam kernay k lay islam dushmanoo nay is tanzeem k NAM per apnay logon ko yahan bhaij diya hay ..takay muslman khud bhi jihaad k aqeeday ko ghalat samjhain or duniya main bhi is ko dehshat gerde samjha jayee …beharhal…islam mai zameen per fasaad phalanay ki koi gunjaaish nahi to main bhi isee ki qaail hoon

2>baqee mainy jo yeh kaha k andhay behray ban ker sub ko na jaalain to is ko app nay shaid Wakaalat samjha jub k maira ishara peshawer attack k baad loogon k samanay anay walay raweye ki teraf hai.. PA forum k thread main .kisi post main khamkha Molvioon ko bura keh diya ..kisi post main LAL masjid k talib e ilmoon ko dehshat gerd ker diya …k un ko marna bilkul theek tha or Musharraf k khilaf action laina ghalat tha …

yanee jo bachay School main perhain gay woh bachay bhi hon gay or insan bhi or jo bachay madaris main perhain gay choonkay un k zahire huleye TTP jaysay hain to woh ab bachay hain na insan bus dehshat gerd hain un ko marnay per kisi ko insaniyat ka dukh nahi …yahan tah k kaafir k bachay bhi bachay hain bus madaaris k talib-e- ilm bachay nahi ?

Malala k haadsay per sub nay insaniayt or ik school girl per attack sub nay awaz uthayee//use saal ik madrasay k 6 student ko ise terah target ker k mara gaya …sirf media nay ilk line ki khabar chalayee k Logoon ka is per koi reaction he nahi ana or yahan GS per main thread khola to ik banday nay bhi inna lilahi wa ia ilyhi rajioon ki dua na perhee …sub madrasa molvi k khilaaf bol rahay thay yahan tak keh diya molvi sub ko maar ker marain gay …in k nazdeek shaid ab molvi insan bhi nahi rahay !

yeh hota hay Andha behra hona… hamaray muslmanoo k Aqaaid or nazariyaat itnay kamzoor hain k media or kufaar ki saazishoon per bantay or badaltay hain …