QUOTE=fariha ali;9698438]mae meri mom ko wheel chair pey tawaf kerwa rahi thi jo abhi new bridge bana hai..first time..kabhi nahi chalyi wheel chair..mujhe idea nahi tha ke…chalney ke baad meri halat be hosh huney wali hu gayi thi
[/QUOTE]
haan mai ne bhiii second floor pe tawaaf kiaa thaa tou it was long .. but i dont know about this new bridge ?? aur wheel chair pe it would be really tough.. khair sawaab bhii tou buhut milaa hogaa aunty !
jo bhi thaa, kya thora thaa …
*
Apne dais ko rotay bhi ho
Chain se par kar sotay bhi ho
Apne dais ka gham kaisa hai
Hanstay bhi ho rotay bhi ho
Kis ne kahaa thaa aao yahaan
Aa kar bas jaaoo yahaan
Jab dais tumhaara apna thaa
Woh shehar tumhara apna thaa
Who gali tumhari apni thee
Who makaan puraana apna thaa
Us dais ko phir kyon chora thaa
Kyon apnoo se munh mora thaa
Sab rishtoon ko kyo torra thaa
Array jo bhi thaa, kya thora thaa
Aur jab bhi desi mil kar bethain, qissay phir chirr jatay hain
Un tooti sarkoon ke qissay, un gandi galeyoon ke qissay
Un galeyoon mein phirne wale un sare bachoon ke qissay
Orangi hai Korangi hai pani ke nalkoon ke qissay
Un nalkoon per hone wale sare un jhagroon ke qissay
Aur nukkar wale darwaze per taat ke us parday ke qissay
Us parday ke peeche bethi albeli us naar ke qissay
Jis ki ek nazar ko tarsay saare un larkoon ke qissay
Jhootay qissay, sachay qissay pyar bhare us dais ke qissay
Pyar bhare us dais ko tum ne aakhir kyon-kar chora thaa
Kyon apnoo se munh mora thaa, sab rishtoon ko kyon torra thaa
Array jo bhi thaa, kya thora thaa
Aur yeh misrah tamaam immigrants ke leye hai …
Tum phoolay nahe samaaye thay, jab embassy se aye thay
Har ek ko visa dikhatay thay, aur sath yeh kehtay jatay thay
Chand hi dinoo ki baat hai yaroon jab mein wapis aunga
Sath mein apne dhair se dollar aur patta bhi launga
Tum ne kab yeh socha hoga kya kya kuch pardais mein hoga
Apne dais ke hotay sotay be-watani ko rotay rotay
Dais ko tum pardes kahoge aur pardes ko dais kahoge
Dais ko tum ilzaam bhi doge ultay seedhay naam bhi doge
Dais ko tum ilzaam na do ultay seedhay naam na do
Dais ne tum ko chora thaa ya tum ne dais ko chora thaa
Kyon apnoo se munh mora thaa
Sab rishtoon ko kyo torra thaa
Array jo bhi thaa, kya thora thaa !!!***
bachche ko afeewan [opium] de kar sulaa deN…puraane zamaanoN meN maayeN apne bachchoN ko diyaa kartii thiiN taa k vo aaraam se ghar kaa kaam kar sakeN…afeemchii babies!