Re: Wht r u doing ?
thankoo thankoo…ok ok…
merii laNgRii Urdu kaa namoona:
ek baar maiN ne kisii ko nau maulood baby goad meN liye huye dekhaa to dil kiyaa k poochhuuN k yeh laRkii hai yaa laRkaa. mushkil yeh thii k mujhe laRkaa kaa lafz nahiiN pataa thaa kiuN k ham apnii zabaan meN "biTiyaa = laRkii/beTii ; beTvaa = laRkaa/beTaa kahte haiN…baRii himmat kar ke poochhaa…
“yeh laRkii hai yaa mard?”
to vo saaHab bole: “yeh 5 din kaa mard hai!” ![]()
ab gaaoN kii zabaan kaa namoona:
are ae Phareeha, ii tum kaa khusur pusur karat hau? kaa kabho kauno joke-vaa naahiiN sune hau kaa?" ![]()