Lafz-e-pas-e-lafz
jo ham boltay hain, roltay hain
kon sa lafz hai kholay ga jo dar ma'ni ka
iss ka patta kon karay
tum to khushbu ho, sitaaroN ki guzargaah ho tum
tum kahan aao gai iss dasht-e-purasrar ki pehnai main
kaise utro gai tamannaoN ki gehrai mai
reh gaya maiN
so aye jaan-e-wafa
mai to jo kuch hoon tumharay hi kham-e-chashm se hoon
tum hi jab lafz pas-e-lafz se aagah nahi
kis tarah sehr-e-mafaheem ko darwaza khulay
lafz ki kokh main taseer kahan se utray
tum meray saath ho, humraah nahi
kon se khuwaab ke jugmug main nihaaN hain ham tum
kaise girdaab-e-tamanna mai rawaaN hain ham tum
lafz ka paar jo daikhain to koi raah nahi
aur tum lafz-e-pas-e-lafz se aagaah nahi

Thanks for the audio! Nicely done.
woah! I made a comment yesterday to my friend telling him that it is very Amjad Islam Amjad 'sque... and if anyone had to know it would have to be you hayaa :) good to see you!
I managed to identify the singer - it's Arthur Nayyar, better known as "A Nayyar" in Pakistani movie songs.

Now I learned something new today that A Nayyar was Arthur Nayyar. Thanks Lucid :)