~! who are... These people...

Re: ~! who are… These people…

Antumul alona

u made my point strong thank you

taraweeh kay ley app nay jo hadees bayan kee mujhay us per koi shaak nahi

mujhay sirf ik sawal ka jawab day dejeye

hazrat ummar razi allah tala anhu kay door main jo 20 rakat taraweh per ijmma-e-sahaba ka saboot hay kia sahab karam ko is hadees ka ilm nahi tha ?

ya ahl-e-hadees shaba say zyada ahadees ko samjhtay hain ya un say zyada ammal rakhtay hain ?

3 talaq per bhi ijmma-e-sahaba hay …or jin masaol per sahaba ka ijmma ho woh wajib ul ammal hotay hain … kion kay woh sunnat main he dakhil hotay hain

muhammad salal allahi alyhi waslam nay fermaya mere ummat mai 73 firqay hon gay sirf ik janat main jaye ga jo mere or maray ashab ki sunnat per ho ga

to ahl-e-hadees say zara mujhay jawab la dejeye kay woh ashaab ki sunnat per chal rahay hain ya nahi ?

ahl-e-hadees k sath talaq kay maslay main sirf gummrah firqay rawafiz hain ..baqee 4 imam or sahaba ik teraf

Halala ka saboot to quran main sora baqra or hadees main hadees-e-mashoor immrah -u-raffah say sabit hay …

ahl-e-hadees ka 4 imam per aytmaad nahi .. kion kay agar un ka ayatmad hota to phir kam say kam un masaail main mutfiq hotay hay jis per 4 imaam ka bhi itffaq hay