I thought while i am here, why not share one of my Nazm with you guys.
The Title is “Ishq”
Ek ishq kia hay main isee ishq may dooba
Koee na pukaray keh mukallim hoon kisee say
Koee na sada day keh mera waqtay wasal hay
Main hoon mera mehboob hay aur koee nahee hay
Har patta bhee sakit hay har ek phoole bhee khamosh
Har nakhl jhuka hay meray mehboob kay aagay
Zahir nahee garchay magar aataa hay nazar woh
Har phoole may har shajr may har nakhl o bashar may
Mujh ko ghamay jana kee haqiqat nahee maloom
Mujh ko to khabar kuchh ghamay doraan kee nahee hay
Mujh ko ghamay doraan ghamay jana kee khabar kiyon?
Yeh ishqay haqeeqee hay nahee ishqay majazee
Phir kiyon ghamay jana ghamay doraan kee fikar ho?
Gar uss say muhabat mujhay uss ko bhee hay mujh say
Mehboob mera wo hay to main uss ka hoon mehboob
Ek ishq kia hay may isee ishq may dooba
koee na pukaray keh mukallim hoon kisee say
Koee na sada day yeh mera waqtay wasal hay
Main hoon mera mehboob hay aur koee nahee hay
Its not new, I wrote this Nazm back in 1989.