khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai
apni aakhon ke samunder main utar jaane do
tera mujrim hoon, mujhe doub ke mar jaane do
zakham kitne teri chaahat se mile hain mujhko
sonchta hoon kahoon tujhse, magar jaane do
Kal Mila Waqt To Zulfain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main
Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo