aise hi relax karne aaye hoon na! ![]()
aik to woh thaa ‘chahe jitne tu kar le sitam’ from the film sanam teri kasam and aik woh ‘jaane jaan dhoondta phir raha’ mujhe pata nahi iss song ka naam …
okay now ab ja k kuch padh leti hoon! … Bye ![]()
aise hi relax karne aaye hoon na! ![]()
aik to woh thaa ‘chahe jitne tu kar le sitam’ from the film sanam teri kasam and aik woh ‘jaane jaan dhoondta phir raha’ mujhe pata nahi iss song ka naam …
okay now ab ja k kuch padh leti hoon! … Bye ![]()
wah kya baat hai
kya gaane hai
chalo kisi din hum bhi sunege aapse gaane ![]()
okie talk to you laters…
take care of yourself and be good…
allah haafiz ![]()
hello shello..salaam ![]()
kia hal hai sab ka? pata hai k theek hoon gay na batana ![]()
mein bhi theek hoon ![]()
kia ho raha hai yahan per ![]()
![]()
mein ne hello shello kaha hai na…salaam kia hai na …tu jawab bhi deina hota hai.. ![]()
bolo kuch…warna… warna.. mere pait ka sar dard badh jaye ga..![]()
![]()
hiiiiiiiiii
rabia
kaise ho aap ???
hmmm… theek hai, nahi tu na sahi..mein bhi jaa rahi hoon…aaj eik tu pehle hi kuch ho raha tha…upar se yahan bhi sab logoon ne chup rehne ka vruth rakha howa hai..![]()
raho chup..na bolna…bye shye…takecare karni ho tu kar leina, nahi tu na sahi..mera kuch nahi jaye ga… Allah hafiz…
![]()
![]()
wsalam, jeete raho, khush raho, dodo nahao pholo phalo…
mein itne deir se jo bol rahi thi..awaz nahi aati kia… mera khoon red ho gaya hai gusse mein… ab tashreef laaye hain Bade miyan… ![]()
ab mein nahi bataoun gi k mein kaisi hoon.. ![]()
i am sorry
mein busy tha is liye dekha hi nahi ki aap aaye ho ![]()
aur itna gussa kyon ? aisa kya ho gaya aaj ???
sorry…ab maaf bhi kar do ![]()
uffffff..eik tu is Busy word se chid ho gaye hai mujhe…
..yeh busy word khud kyun nahi busy ho jata, takey dosroon ka pala us se chot jaye.. ![]()
aur bus aaj ghussa hai mujhe..kis per hai kyun hai..mujhe bhi nahi pata…jab pata chal jaye ga bata doon gi..filhal k liye mera ghussa nosh farmaye..
..oh sorry mein ne yeh ghusse mein kehna tha…tu filhal k liye mera gussa nosh farmaye ![]()
jao maaf kia… balkey nahi abhi nahi kia..thodi deir mein karoon gi..dekhoon gi, soochon gi, kal parsoon shayad karoon gi.. ![]()
haan na poori zindagi mein itna busy nahi hua jitna abhi hoon last 2-3 weeks se ![]()
aur kuch to reason hoga na gusse ka ab bata bhi do ![]()
heheheeh nahi ek baar maaf kardiya means kar diya ab wapas nahi de rahe hum ![]()
aur waise aapka new signature is too good…but woh purana wala kab laaoge wapas ![]()
dekhaa…saboot samne hain..meri sohbat mein aqalmund ho rahey hain, tu ab kaam ki samajh bhi aa rahi hai, aur kaam ki samajh aa rahi hai, is liye kaam kar rahey hain, aur kaam kar rahey hain is liye ab busy rehte hain…shabash rabia, jeeti raho ![]()
KUCH reason nahi hai…bohat reasons hoon gay…per mujhe bhi nahi pata na…actually mujhe gussa issi baat per ched raha hai k mujhe gussa kyyun nahi ched raha
… yeh bhi koi baat howi mad
lo..mein ne maad vaaf nahi kia.. wapis do hamari maafi ![]()
woh sig. abhi tuk yaad hai aap ko..woh Nafs wala? itna bhi acha nahi tha ab :halo:…waise mein abhi wohi rakhne wali thi..per yeh samne aa gaya..tu soocha is k baad wohi rakhoon gi…
ps:..kia hal hai ![]()
kya saara ccredit aap hi loge…mein kaam kar raha hoon thoda sa to credit de do aap ![]()
KUCH ya BAHOT KUCH reasons mein se jo mail reason hoga wahi hoga aapka gusse ka reason…dekha mein bhi kitna smart ho gaya na ![]()
haan jee wahi Nafs wala…uski to baat hi kuch aur hai..waise yeh bhi achcha hai but that one was better ![]()
ohhhh achcha chalo yaad to aayi haal poochne ka
bas jee rahe hai…kat rahi hai zindagi jaise ise kisi sahare ki aarzoo bhi nahi ![]()
waise one goodie news
mera leave approve ho gaya hai for 10-12 weeks :bhangra:
haan tu jis ko credit leina aur deina chaye ussi ko credit dey rahi hoon aur ley rahi hoon…Kaam tu aap pehle bhi karte they, per pehle kabhi busy howey? nahi na? woh is liye kyun k aap ko samajh hi nahi thi..woh tu meri sohbat mein samajhdar howey hain tu kaam ki bhi kuch kuch samajh aye hogi..is liye busy ho gaye hain..tu aap ko kis khushi mein credit doon…yeh tu wohi baat ho gayee na…’ tu kaun, mein khamkha :halo:’
aur aap k guess karne se pehle mein bata chuki thi k mujhe gussa kis baat per cheda tha…zyada khush fehm na ho halo
acha haan waise btw..aap ko kaun keh raha hai Pukarne ko .. :halo:..kis ko bhotoon ki awaz sunney ka shauq hai..aur agar hai hi, tu us se keh dein k bhoot bangley mein chali jaye, har waqt bhotoon ki awaz sunaye dey gi…
haan woh rehm dili ki waja se hal poochna pada,warna mujhe koi chinta vinta nahi hai rolleyes…ab yeh kis ki line chori kar k padhi hai…? ohh btw yeh shair suna hai..
‘kahin tu carvan-e-dard ki manzil tehr jaye
kinare lage umer-e-ravaa ya dil tehr jaye’… ![]()
ohh itnii lambi chuttii??? kyun, kab, kaise?
haan haan theek hai theek hai aap ki sohbat ka asar…tch tch choti choti khushiyaan…
![]()
oh haan yeh sher pehle padha hua hai…i think mere paas poori ghazal bhi hai likhi hui…will post laters ![]()
haan ji itni lambi chutti…woh meine apna ghar lena hai na…Bangalore mein
and decorate bhi karna hai…waise le to rakha hai i mean booked abhi jaakar buy out karna hai and all that legal stuff it is very very nice ![]()
hmm aur aap sunaye kya chal raha hai waha ? anything interesting ? kal to aapne uni jaana hoga na ?
hmm dekha kabhi kabhi hi sach bolte hain..mujhe pata hai meri sohbat ka asar hai..bus bus beith jao ab..:queen:
yeh ghazal ka sher hai??? ohh yaad hai mein ne eik dafa kaha tha k mein ne eik book padhi hai :halo:..us mein yeh kuch shair likhe howey they… jo achye lage mein ne bhi likhe liye…halo…
ohhh Bangalore mein ghur?? kahin asal mein tu bhoot nahi hain aap…k aadhey UK mein rahein gay adhey Bangalore mein..
… aur kab jaa rahey hain??
waise baat ko beech mein se fatak se nikal gaye eyebrow uthaying…mein ne kuch poocha tha…
…
aur yahan sab theek thaak hi hai… haan bohat interesting hone wala hai…sab sone wale hain :halo:… haan kal uni jana hai.. kal lecture k baad Seminar phir lecture… ![]()
haan baba haan aapke sohbat ka asar hai…ab to theek hai ![]()
well ultimately to mera plan bangalore mein hi settle hone ka hai na…or may be dual nationality
so ek ghar yaha and ek ghar waha
aur kaunsi baat poochi thi aapne ??? ![]()
hehehe kyon kaun sone jaa raha is waqt ??? aur aap aajkal Sunrise sun rahe ki nahi ???
wah wah wah kal to aapka busy busy day hai…
good luck
haan ab theek hai..![]()
ohhhhh tu yani UK waloon ko Mental kar k ab Bangalore waloon per hatya char karne ka soocha hai…chchc…kahan kahan atanak phaliaye gay..tik kar nahi beith sakte eik jaga…Dev anand k kuch lagde.. :halo:
acchaaa ab baat bhi bhool gaye…bholey miskeen..oh waise bhi yaad kaise ho gi..
..acha mein phir pooch leyti hoon rehmd il jo hoon…
haan tu mein ne poocha tha..k apni signature mein jo aap irshaad kar rahey hain (:halo: ) k pata nahi kis ne zid ki hai k aap ussey pukarein…tu woh bechari kaun hai jisse bhotoon ki awaz sunney ka shauq hai…rolleyes
haan kal busy day hai…infact busy evening hai…pata hai aaj mein library gaye thi…assignment mila tha usse karne…cute tha…subah subah gaye thi..aaj mein 8:40 per uth gaye..aur 5:30 per soye thi
..phir tayyar shyaar howi aur breakfast karne ka dil nahi kia..ammi ne bohat kaha kar lo.. padhne jaa rahi hoon, sar dard hoga..per woh rabia hi kia jo baat man ley..smokin..per phir bhi chai pee li thi… aur phir wahan kaam shaam kia..aur wapis…hula
jee nahi best of both worlds milega is bahane…waise shaadi ke baad (jab bhi hogi tab) mein kuch time pehle India mein rahooga…then wapas aaonga…life settle hone ke baad…so us liye ek ghar to chahiye na waha…
oh achcha yeh jo sher hai yeh hai Gulzar saab ki ek nazm ke ashaar…2-3 din pehle padh raha tha …achche lage to signature rakh liya…aur jinko pukaar rahe woh to kab ki nikal liye mod ya us raaste par bhi nahi hai bas dil ko lehlaane ko Ghalib yeh khayal achcha hai ![]()
kya baat kar rahe ho 5:30 sokar 8:40 baje wapas uth bhi gaye
aise aadat achchi nahi hai change akr lo abhi bhi…chalo chai par to rehm kiya …theek thaak khaya kare nahi to gayab ho jaaog
hi bhaiya..i'll open ..?
the thread?
O meri maa
rehne do na ![]()