Daagh aap ne samajha tha, tu zahir hai putha hi kuch samjha hoga :halo:…
aur theek hai theek…beith jaye ab…rehm dili ki waja se ashirwad deine padte hain
mein ne review padha hai..suna hai Amith ji ne badi achi acting ki hai …ab meri training ka asar hai…aur hema suna hai kafi achi lag rahi hai…meri sohbat ka asar hai :D…aur sallu suna hai ghyab hi hai adhi film mein…woh shayad aap dono ka asar ho gaya ho us per :halo:
Aymo… ro mut…mera mutlub gao mut…yeh gana tumhare liye itne sooch sooch kar likha gaya tha, tum hi rakho yeh gana..mujhe mut sunao..tumhey hi mubarak ho tumhara gana…
aur na batao apna hal.. mein kaun si doctor hoon…woh to formality k liye pocha tha…aur tum khush fehm ho gaye, k mujhe pata nahi tumhari kitni chinta hai..hoonh
mein ne ki thi naqal??? woh bhi tumhari…Allah bachaye us din se…itne borey din nahi aye mere Allah ka shukar k mein tumhari naqal karoon… khush fehmiyoon se nikal aao :halo:
ab net slow hone ka bahana banao ya dimagh, ya haath…kaha tu pehle mein ne hi na..
haan mujh jaisi Pariyoon se tumhey dar tu lage ga…herat hai k aaina dekhtey waqt kia karti hogi
aur bongi…aqalmund hoon tub hi pehchan gaye thi tumhey…isi liye tu keh rahi hoon, ayatal kursi padhi tu ghayab ho jao gi..
haan boring kyun hogi…Amith ji hain na us mein natak karne k liye :halo:…aur hema Paaji nahi hain Pehen ji hain…KK yeh chashme ley kar nahi gaye they na …
waise aap dono ne eik saath beith kar kaise dekh li..bichare agay peechey waley log…film ko kam aap logoon ko dkeh kar zyada ro rahey hoon gay.. :halo:
aur haan sallu sallu hi hai…din ba din ganjoo bhi hota jaa raha hai.. :halo:
abhi tum neh suna nahi mujhe gatay huay … isi liyeh itni bongiya maar rehi ho … waysay bachay bachay ko pata hai yeh gana aur sub ko pata hai keh yeh gana sirf aur sirf tumharay liyeh likha giya tha… …
Allah ka lakh lakh shukar hai tum doctor nahi ho… kyun poocha… agli baar mut poochna … khush fehmi mujhe nahi hoti… aur mayn neh kub kaha keh tumhe meri chinta hai… aankhayn khol kar parha karo …
aray mujhai inn sahib nai bataya kai film mai Prety Zinta :love: hai .. jab film shuru hoe tu janab kah rahai … “Yar iss mai tu woh Naheen hai” but hey it was worth it..
haan tub hi shayad zinda bhi hoon, aur normal bhi hoon..tumhey gaata sun kar..mein tumhari terha Mental nahi hona chahti … haan bachay bachay ka tu pata nahi..per tum bachi ko tu pata hi hai na yeh gana..aur kyun na ho, tum per hi tu picturise hoga… aur koi churail k role mein thodi fit aaye gi..
haan Allah ka shukar hai k mein doctor nahi hoon, warna tum jaise mareezoon ka ilaj karte karte khud apna ilaaj karvana padta… aur agli baar bhi poochoon gi..tumhey kia hai..meri marzi…
aur mein tu ankhein khol kar padhti hoon..tum shayad ankhein bund kar k type karti ho… :halo:
jaan dal di thi …yani movie sans bhi ley rahi thi.. aur haan mein ne suna hai k us ne ganey gayein hain…aur mein ne gane suney bhi hain…mujhe woh gana bohatt zyada batameez lagta hai..woh meri makhna…eeeee … kitni bhotoon wali awaz mein gaya hai…oh shayad tub hi aap ko pasand bhi aya hai :halo:…mujhe dosra wala gana pasand hai…kuch tu hone laga…hula
dharam paaji k khandan mein waqayee sare Paaji hain …
eik woh sunny deol dunya jahan ka no 1 paaji, bewaqoof