road par nahi London Road par jaha mera office hai
haan meri mom ka to woh fav hai song…papa kehte kya laga rakha hai yeh gaana
well woh itna jyada :love: tha isi liye to itni situation aa jaati na …so it is lovely…woh pehle wala was really good this is good as well…aur yeh formality nahi hai…
‘MERA office’ hai..woh aap ka kab howa?kaise h owa? kyun howa?us ne apne bare mein eik baar nahi soocha k aap ka hogaya tu phir us ka kiahoga..…
haha uncle ko woh gana sun kar jealousy hoti hogi na…k yeh tu abhi tuk jawan hai……
waise mein woh wala signature dobara rakhoon gi, yeh tu mein ne awayeen kuch dino k liye rakh diya tha, soocha kia yaadkarey ga kis rehm dil se pala padatha..waise eik shair sunaon..aap nahi bhi kahein gay tu bhi sunaon gi ..
ahem ahem…
tu bhi dil ko ek laho ki bond samjha hai faraz
ankh agar hoti tu katre mein samundar dekhta.. ..eik aur eik aur
mujh se guraizpa hai tu har raasta badal
mein sang-e-raah hoon tu sab hi raaston mein hoon
badla na mere baad bhi muzuuay guftuguu
mein jaa chuka hoon phir bhi teri mehfiloon mein hoon
aur woh formality k liye theek hai theek hai rehm dil jo hoon..
oh phonee..kis bechare ka phone tha..ab bechara hi hoga na jis ne phone kia tha, kyunk sahi terha sunaye nahi deyta hoga na unhey tub hi tu itni deir baat ki, agar sunye deiyta tu awaz sunte sath hi na rakh deyta
shukar karien aunty woh gana nahi sunti..‘mein kaa karoon raam mujhe budha mil gaya’..…
haan mein bhi change karne ka sooch rahi thi..wapis wohi rakh loon gi shayad.. aur mujhe pata hai k woh acha tha, tub hi tu rakh tha snooty..
aur poetry section k abhi bhaag itne nahi khule k hum wahan padharien..per ho sakta hai jald hi us k bhag khul jayein..kyun k mujhe woh section pasand aya
well bhai ka tha chote ka…mom-dad to hai nahi ghar par so aish chal rahi hai dono ki…
sach mein agar yeh gaana gaya to papa ko to heart attack hi aa jaayega
achcha to aapko poetry section pasand aane laga hai…aayega hi hum jo apne high level poems post kar rahe hai aa jaaye aap bhi phir hum waha bhi flooding karege
aur sunaye aaj shaam ke kya plans hai ??? anything interesting???
kyun mom dad kahan gaye??? bachoon se dar kar bhaag gaye…:D..un se kahein sab se khatarnaak tu London mein hai, tu wapis aa jaye, chote wale tu abhic hunney munney hain un se kia darna…
hahaha hai na na…woh gana agar aunty ne sunna shoro kar diya..tu uncle tu dar k marey samne hi nahi ayein gay…
haan acha section hai woh bhi…mein sooch rahi hoon k ab qadm ranja ho hi jaoun rehm dil jo hon..
aur sham ka koi khaas pilan nahi hai..ammi ne town jane wala plan bhi cancel kar diya..Neend jo aa gaye tih un k paas.. meri bhi neend un mein chali gaye hai shayad
mom and dad gaye hue hai rajasthan…pata nahi achanak mom ko apne rishtedaaro ki yaad aagayi barso baad and dad bhi jaane ko tayar ho gaye… so wahi hai last 1 week se…aur mujhe phone karte rehte hai kabhi subah 5 baje to kabhi 6 baje
haan jee bismillah karke post kar hi de Poetry section mein bhi
waise kaafi achche achche posts hote hai waha…kuch logo ke to mashallah…
oh haan mein aapse poochne hi wala tha ki kya hua aapke outing plan ka but aapne bata hi diya
chalo hum bhi chalte hai ab…ghar jaane ka waqt ho gaya hai…phir gym
aap kahan jaa rahey hain?? sorry mein tu dosre thread per thi…
aap kidher rafoo chakkar ho rahey hain
eik woh KK hain jo atey hain aur forun bhaag jatey hain..ab aap ko bhi un ki aadat lagrahi hai kia..