haan tu jis size k log us project mein kaam kar rahey hian ussi size ka project hoga na..
waise mein bhi abhi chali jaoun gi thodi deir tuk..!
yeh dangerous khwahish thodi hai…aur yeh khwahish na poori hone ki duayein na mange aap acha.. …agar hone bhi wali hogi tu agar na howi tu..Kabhi kabhi bhootoon ki baat bhi kabool ho jaati hai…
us waqt woh gana aa raha tha..Calcutta mail ka…‘kahan pey meri jaan javogay’..
hamari nazar itni badi nahi hai k aap ki poori seht per lag jaye..koshish k bavajood nahi lagti.. …
ji nahi Pari hoon tu thodi dangerous bhi hona padta hai..aur dangerous hoon is liye khwashiein bhi dangerous honi chaye..aur unhey poora bhi hona chaye..baqiyoon k sath sath yeh khwashish bhi mein poori karoongi bus…
haan rani us gane mein achi lag rahi hai..gana bhi bohat cute hai…
aur mein jaldi is liye jane wlai hoon, kyun k abhi hamey baher janah ai … abhi tayyar shyaar hona hai… aur friday ko jo shopping ki thi..us ki list bhej deyti hoon.. balkey reciept fax kar deyti hoon…payment kar deina…
aur hum poori kar k hi dum lein gay aur phir gana bhi gaoun gi..Dum…jan mein Dum…
mein ne kal miss kar diya tha..17 per tha calcutta mail…mein ne aagay se suna tha.. ..ok kal apun sunney ki koshish kare gi…
ufffffffffff ..dinner per nahi jaa rahey they, waise hi ammi keh rahi theen k town chalte hain …khane k ilawa kabhi kuch aur bhi soochliya kareinn…
aap ko itna yaqeen kaise hain k 2-4 saloon tuk aap tapakein gay nahi…hum hain na yeh azeem kaam karne k liye…aur koui zaroorat nahi hai payment karne ki Ramu kaka.. mein ne kardi hai..us dukan wale per taras aa gaya tha, tu soocha k chalo is ko dey hi doon, apne bachoonko toffee khila ley ga.. :halo:
ohhhhhh waise meine bhi miss kar diya tha woh song…and woh message bhi gaya hoga
haal kal try kariyega sunne kie
oh achcha to kya aiwein hi town jaa rahe ho ? jaaoge to kuch to khakar hi wapas aaoge na…so khane ki baat to aayegi hai
kyon itni si shopping ki ki uske bachcho ki bas toffee hi aayegi achcha bataye to sahi kya liya ? clothes ? shoes? watches ? jewellery ? kuch to liye hi hoge na…
haan mujhe pata hai k aap ne bhi miss kar diya tha woh msg..aqalmund ko ishara hi kafi hota hai…:p..kal inshallah sunney ki KOSHISH karoongi..
zaorori nahi hai k kha kar aaoun..ab har 2, 2 min baad bhook tu lagti nahi hai mujhe, ALlah ka shukar…kabhikabhi tainki ko khali bhi chodna chaye… :halo:
nahi woh kia hai na..k woh kaun sa shareef hai, mein ne kaha tha k takey bachoon k liye toffee ley sakey…baqi paise tu apne aap per hi kharch karey ga na..dekhne mein aap k jitni hi sehat thi us ki..tu zahir hai adhe se zyadapaise tu woh 2,4 baar lunch kar k hi khutum kar dey ga..aur phir jitne bach jayegay un se bachoon k liye toffee ley ley shayad..
aur mein ne kapde khareedey they..aur eik handbag bhi… :rotato:..
2-2 min mein nahi lagti humko bhook koi…haan 2-3 hours mein lag jaati hai aur tanki mein kuch na kuch daalte rehna chahiye…
oh achcha clothes and hand bag yeh ek aap bandiyon ke paas kitne hand bags hote hai phir bhi lete rehte ho meri mom and didi ki bhi wahi aadat..woh to mujhe se kehti hai ki UK se bhi lekar aana ek baar le gaya tha uske baad se nahi maanga kabhi
ji haan bilkul..per jo log bewaqoof ki category mein hotey hain na unhey hi nahi pata hotak kaun aqalmund ki category mein hai..is liye aap ko nahi pata tha shayad..
2-3 ghunte mein nahi lagti aap ko bhook…2-3 min mein hi aap ko khane ki yaad satane lagti hai…zyada jhoot nako bolo..hamey pata hai.. … aur tanki mein kuch na kuch tapkatey rehte hain tub hi bechara phool gaya hai…
tu aap kyun jal rahey hain agar hum handbags leytey hain tu… hain, bolo bolo tell tell… …aap bhi ley lo itna shauq hai tu rolleyes…
aur bechari aunty ne badi umeed se mangvaya hoga aap se..unhey yaad hi nahi raha hoga k kis se mangva rahi hian…per handbag dekhne k baad yaad aa gaya hoga unhey k kis se mangvayahai…Baba adam k zamane ka ley gaye hoon gay… :halo:
nahi aise koi 2-3 mins mein nahi lagti bhook humko
jal kaun raha hai mein to keh raha hoon bas…hum bando ke paas to ek hi wallet hota hai jo ki barso barso chalta rehta hai mera wala to didi ne diya tha 2 saal pehle…ab pata nahi aur kitne saal chalega yahi…
aur mein to mom ke hisaab se hi le gaya tha plain black leather ka simple sober…mom kehti hai kya budho wala hand bag ke aaye
bhook nahi lagti magar khane ki yaad tu satane lagti hai na… ..
aap jal rahey hain bus....aur didi ne wallet diya tha? badi umeedon se diya hoga k shayad ander kuch rahey bhi…per jo us k ander hona chaye woh restaurant waloon k paas hote hoon gay,.. :halo:…
dekha mein ne kaha tha na baba adam k zamane ka ley gaye hoon gay…ab apne hi zamane ki cheezein pasand ayein gi na aap ko..:halo:
haan pata hia k aap ko khane k ilawa aur kuch nahi sojta :halo:..nahi nahi khane k ilawa aap ka pait soojta hai…
haan didi ne jo diya tha pyar se..tu zahir hai un ka ashirwad hoga na..isi liye..warna tu restaurant waloon k paas hi hota ..
haha aunty se kahein k woh gana gati rahein, abhi tu mein jawan hoon..takey phir un ka soochte waqt yeh gana dehaan mein aaye..tu shayad asani ho jaye…
ohhh haan abhi utk nahi mara..chalo ab marti hoon..yeh lein dishummmm … signature