us se jis se poochna chaye tha… ab mujhe nahi pata hoga tu kisse pata hoga…aur mein nahi bataoun gi tu aur kaun bataye ga..har koi rehm dil thodi hota hai…
hamey badalna aata hai…aap zyada HA HA HA naa karein..warna kahin abhi isi waqt yaqeen na ho jaye mujhe :halo:
thoda control karein hasi ko..itna na haso k sach nikal aye… ( mujhe kia ho raha hai…i think mujhe forun chala jana chaye kyun k is waqt mein zara philosophical ho jaati hoon :halo: )
haan woh kia howa na…k aap k paas se ud kar mere paas aney ki gustakhi kar rahi thi..tu mein ne yeh maar kar dobara bhej diya..k jahan se aye ho wahan chali jao gustakhhh…tu bhaag gaye..dekho zara kafi chot vot aye hogi ussey…tubhi kaha tha mein ne Panga with rabia is not changa..per suna thodi kissi ne
Jiya ji kaisi thi?? suna hai kafi achi hai…mein inshallah aaj koi mil gaya dekhoon gi..inshallah inshallah.. mere mun mein chocolates, biscuits, ice creams etc etc..
mujhe kia zaroorat hai jhagda karvane ki.. dono pehle hi kafi ladakey ho..ladakaey tayyare F16! app logoon ka kaam aap ko mubarak..hamey tu aman o shanti pasand hai…sirf neend k waqt… warna baqi waqt tu :bhangra:
acha janey se pehle eik baat sunte jaye ga…suno na suno na sun looo naaa…
jiya aunty..sab pata chal jaye ga…Intezar karein..hum ne apne jasosoon ko bhej diya hai..ab jald hi rapput aa jaye gi..phir bataoun gi kaisa yaqeen kis baat ka yaqeen kaun sa yaqeen
yeh mera naam Rabia se RUUbia kab se ho gaya :hoon:..? RABIA naam hai rabia rehne dein…Rabboo, Rabi, Rubiaa yahan koi nahi hai..sirf Rabia hai…Rabia pari.. :Pretty:
mein ne ishq vishq bhi nahi dekhi… mujhe tu chullu bhar pani mein doob jana chaye…