mangwa letii tu ap la nahi sakte kia.. iklotii bhatijhee hon ap k
bewafa uncle ![]()
ps. kia kaha ![]()
mangwa letii tu ap la nahi sakte kia.. iklotii bhatijhee hon ap k
bewafa uncle ![]()
ps. kia kaha ![]()
after months!!! wah wah aaj tu quorum pora ho gia “Where are you” ke assembly ka
![]()
Acha tu grocery kee aaj, kia irada hai dinner main kia paka rahay aaj ![]()
Mai ab kafi behtar hon, Alhamdo Lillah. Allah ka shuker
mae ker luun ap ko call ![]()
![]()
ws ws jeete rahein, khush rahein, doehein nahayein, phole phalein bhi :halo:… kaun se chehre per
…Allah rey phir shoro ho gaye yeh professor..smack..dekhein aaj aap koi mushkil word nahi bolein gay acha…
..agar bola na tu ..tu ab tuk tu bailan pit ta aya tha ab guns ayein gi…tu is liye abhi se ruk jayein..bailan…
haan jis ki uumer hai woh tu ja nahi rahey..:halo:..woh tu tik kar beith gaye hain..ab hum log tu hote hi rehm dil hain..per hum ne WAHAN jane ki baat nahi ki thi..dushman-e-azeem
..itni jaldi na hi dharti ko na hi dharti k logon ko chodein gay hum snooty..
ps:..mein theek hoon, zinda hoon..
…haan pata hai kafi dinon baad baat ho rahi hai..khud ne jo vachan liya tha k ussi waqt ayein gay jis waqt hum, ja rahey hote hain..:abilan:..
WG humse bhi baat kar lo yaar :(
Haila ![]()
**1 min 1 min..sab ruko..
..kab se mauqa dhoond rahi hoon..vade vade buzurgoon ko hello shello karne ka..mil hi nahi raha
…haan tu Mr Kamo kaka..hello shello n salam salam aao aao…aap ka hi intezar ho raha tha..hamey tu khai rnahi per kissi ko tu ho raha ho ga na..hahahaha…
..ab kuch log pata nai kyun ghayab ho gaye hain..ab assi tey kuch keh vi nahi sakde..hahahahahahaha…
**
kia kaha ![]()
**
Daagho uncle** hum bhee kharay hien rahoon mein :halo:
yeah wahi mein bhi kehne wala tha ![]()
haan haan.. kehne walay thay kaha tu nahi:snooty:
![]()
ki hoya:hug: sad sad kio ho ![]()
kuch nahi aise hi …shakal hi aisi hai ![]()
acha acha ghutnaaa kaha tha…i c i c…tu sahi terha nahi keh sakte they..
…
haha kia film thi..uff qyamat ..bhayee sab ko choro..us mein Faisal khan ne tu kia hi acting ki hogi..mein ne tu yehi sooch kar film nahi dekhi k Faisal khan ki oscar winning performance ko sehan kar paoun gi ya nahi
…
nahi nahi nahiiiiiii aisa bhayanak prog na banana plz…abhi B;ham ko kk k yahan aney k sadme se tu nikalne dein…ab do do nazil hon gay yahan tobah
.. Allah rehm karna B;ham per…teary1..
laholwala Quwatt
@ shakal hee aisee hai ![]()
koii haal nahi hai ap dono ka ![]()
Meri toba jo kabhi ainda Urdu kay alfaaz istemaal keeay aap say sirf Hindi bhasa mai mai hee baat karain gay, ab tu aap ki chinta duur ho jani chaheay keh aap kee samajh mai baat nahee aai, waisay hamari hamesha say yahi ichcha rahee keh logo ko kabhi koi takleef aur zehmat na dee jaye.
Khair sunain kaisay guzar rahay hain shab o roz, I mean raina aur din.
Aray wah hum ko ab kia maloom keh aap kay aanay ka aur janay ka time kia hai, hum tu jab bhi jee chahta chalay aatay hain,
PS: Sun ker khushi hui keh aap theek hain aur zinda bhi, Allah aap ko mazeed zindagi ata farmaye. Aameen.
Aray pakana kia hai.. Pizza order karoun ga akhir mai ro peet kur ![]()
chalo ache baat hai… kuch din la off lai kur UK aa jao ![]()
** RABOOOOOOO ignore mode ON **
[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *
WG humse bhi baat kar lo yaar :(
[/QUOTE]
Daagh jee kaisay hain aap? Aap kab tashreef laaye, hum ko nazar hee nahee aaye, dar asal hum bhi bas abhi hee aaye hain, dekhain hamara Back pichlay page per. :)
Aur kia ho raha hai? Kab tak ghar ko rawangi hai?
haan wahi kaha tha…theek se parha karo na :halo:
us movie mein saara kuch hi bhayanak tha…title song dekh kar mein to socha tha ki good decision but pehla scene aate hi ![]()
hehehehe ab to banayege and zaroor banaye ![]()
Kuch nahee bas khiyaalon khiyaalon main aap kee awaaz bhi sun lee ![]()