Where are you ...

Bewafa chch farishtoon ko aise badnaam nahi karte..paap hoga :bailan:..aap ne aap ko farishta keh rahi ho..chch..farishtoon se aisa mazak nahi karte…:stuck_out_tongue: ..

aur tum sara waqt mere aas paas hi kyun rehti ho..bohat sachi muhababt ho gaye hai tumhey mujh se :blush:…tumhara dosh nahi hai…hoti hai…kabhi kabhi naik kaam bhi kar luytey hain tum jaise bongay bhi…

aur mein bhi theek hoon, khush hoon, nahi hoon..tum bar ba rkyun pooch rahi ho..:stuck_out_tongue:

**Chunney urf Dilip Kumar halo ** tum ne phir jane ki baat ki..abhi kaha hai na k koi kahin nahi ja raha..aram se btiho..bus jab vomit karni ho tu forun ud jana yahan se..:bailan:..warna khamakha hamey dhakey deine ka kasht karna pade ga…:snooty:

aur gane na gao tum…rehm khao insanon per…smack..khud insan hote tu pata chalta k kis cheez se guzarna padta hai..

[QUOTE]
*Originally posted by HAMMAD: *

nahi karoo
wasye kal hoon na hoon :(
[/QUOTE]

OK :(
I am going now. Allah Haafiz....
Rabia time starts now. :p

acha :yawn:

aray tu catalogues ju bhaijein hain na, abb phone aaye agar kai kia select kia tu USKO kehna kai calling list sai remove kur dain… bas seedhii sii baat hai, :aha: balkai next time agar kissi bhoulii sii shakkal pur tars bhii aa jai tu Phone number dainai ka kiq hakeem nai mashoura diyaa thaa.. :hoonh: mai tu apna purana number daidaita houn… jhoot bhii nahii houta aor mujhai koe tang bhii nahii kurta…
Tememarketing kii agar calls aa bhii jain tu sedha mana kur daita houn kai list sai remove karo mujhai.. :stuck_out_tongue:

tu Inna Vada kaisa kaam hu rha tha kai 4 Bajai soyen .. khair sanoun kii … 4 bajai so kai 5 bajai …

han Chicken pur hii ye satam tourd rha houn abhii .. :frowning: aor kuch asan ju nahii pakkana ..
sweet dish ka souch rha houn abb kia pakkai jai ..

itne vade buzrug ho gaye hain..balkey buzrugon se bhi vade ho gaye hain :halo:..phir bhi abhi tuk usoolon ka nahi pata chala..hum naujawanon se seekhein kuch..snotoy
haan bilkul..Allah hafiz kehne k baad tuk ruki ga..jab tuk is baat ka yaqeen na ho jaye k hum waqayee tashreef ley ja chuke hain :halo:..

aur agar aap kam bolte hain tu chinta nako karein..hum aap ko bolne ko keh bhi nahi rahey..aap filhal type karein…ya typing bhi kam karte hain :halo:..

PS:..theek hoon, khush hoon, nahi hon aap bar bar kyun pooch rahey hain..aur ab hone ko reh hi kia gaya hai..aur jo reh gaya hai woh kyun reh gaya hai yeh tu hum bhi nahi jante..aur hum yeh bhi nahi jante k hum ne abhi kaha kia hai :halo:…

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Alhamdo Lillah haal tu theek hain, aap sunaain kia ho raha aur kaisay haal chaal hain?
[/QUOTE]
yar mai bhii theakh... Aaj Garmii buhat hai yahan.. ghar bhii jaldii wapiss aa gea aor abb fan ON kur kai baitha houn.. magar garmii kamm hii nahii hu rahii ... ooper sai abhii khana bhii pakana hai smack

yehi tu farq hai aap mein aur mujh mein…aur rehm dil aur Bongon mein…:halo:..mujhe tu bechare miskeenon per rehm aa jata hai..k koi unhey pochta nahi hai..tu gali gali phirte hain logoon ko register karne k liye…lekin waise eik baat hai..meri sohbat mein eik tu samajhdari ki baat ki aap ne..woh no. deine wali…waqayee ab mein apne purana no. deyd oon gi..karein phir bhotoon se baat aur un ko apni rudad sunaye mad..

chalo ab agar taano kuch nahi hai k mein 4 baje soon ya 5 baje tu mein kyun batao k mein kia kar rahi thi ..warna tu shayad mein batane wali thi..:snooty:..

sweet dish?..hmm gullo miyan bana lein..mera bohat dil chah raha tha khane ka..lekin bananey ki himmat nahi ho rahi thi..aap ko banaey k liye is liye kaha hai k afsoos se kam khushi zyada ho k mein nahi kha sakti gullo miyan ko kyun k aap bana rahey hain..:mocking:..

Waisay yeh afwah aap tak kaisay pohnchii BB keh ma badolat buzurgon kay buzurg hain, yeh ittela jis nay bhi dee bohat ghalat hai woh.
jee type bhi bohat kum kum hee kertay hain, yahi wajah hai keh messages mukhtasir hotay hain meray.
chalain shuker jaan ker khushi hui keh aap bilkul theek thaak khush o khurram shadmaan aur shadkaam hain.
Aur koi nai taazi :slight_smile:

Haan garmi tu yahan bhi hai, kal tak bohat acha weather tha aaj pata nahee kahan say garmi bhi aai aur humidity bhi. Fan kyu on keeya AC chala leejeay, chalain shuker ooper jaker pakana hai, warna yahan neechay tu kafi garmi hai, pareshani ho jaati aap ko. :stuck_out_tongue:
PS: waisay aaj raat ka menu kia hai :yummy:

WG ALLAh hafiz kaha tha pa nay :Pagri:

Allah maafi :smack:..waise sunain mein ne pehle bhi poocha tha k kia koi vachan ley kar aatey hain k sari jahan ki urdu yaheen per bolein gay..smack..aap kam type karne k bajaye Urdu per thoda rehm khaye..thodi urdu peeche bacha lein..smack..

waise acha aap ko kaise pata k yeh samachar ghalat hai k aap buzrugon k buzurg hain..hamey pata hai k kia sach ya kia nahi..aqalmund ko ishara kafi hota hai :snooty:..

aur mein ne sirf apne theek aur khush hone na hone ka kaha tha yeh baad ki sari cheezein..shaadman vaadman nahi kaha tha..:smack:..

naye taazi tu bohat hai../kahan tuk sunain gay kahan tuk sunaoun..:teary1:..

[QUOTE]
*Originally posted by HAMMAD: *

WG ALLAh hafiz kaha tha pa nay :Pagri:
[/QUOTE]

Aray Bhai kaha tu tha but aaj hee dhamki bhi mili keh Khuda Haafiz kay baad bhi half an hour tak rukna hota hai, yahan ka usool hai :(

Suna kuch aap nay Rabia jee :(

Chunney oh jamaye wale baba…yeh ‘name chain’ wali thread mein kia karnama anjaam dey kar aye ho :smack:..jao wahan ja kar dekho kia poocha gaya hai tum se :smack:..

kaha tha thoda padh lo..at least naam tu likhna seekh jatey…chalo aao udher..smack../:bailan:..

arye pappo chuumee
ruless batay haan totnaye kay liyee kia smaje
abhi apon kee halte may jaene tawani ayee hia ek aamm khaye kay baad aorr paseena bhi ab soukh rahah ia :bhangra:

arzz kia hia

duyanya may aye han to jee na he paryee gaa

kia kia??? kia howa kia howa??? kab howa? kyun howa?> kaise howa..kis k liye howa..kis ki ijazat se howa..:halo:…

aik tu tum aor tumharii rehm Dilli .. :hoonh:
abb rehmDilli kii hai tu bhugtoo bhiina shikayat kion kur rahii ho … :stuck_out_tongue: aor aqalmandii kii baat tu hum kurtai hii rehtai hain :snooty:

aor han ju kur rahein thein wo hur giz na batana .. mai nai ju kha hai .. agar bataya tu paap houga ..

Gullo mian kaisai banao.. wo tu banai banai hain :hehe: … waisai banatai kaisai hain .. abb tumharii turha mai koe hulwaee tu nahii na kai sabh aata ho banana .. :halo:

shaid kheer hii bunnaon aor dekhoun ga

oo nani bhoooot patter ppatter kaa lia han
ab bass warna PPC 420 ka act laga doon ga kia smajyeen :stuck_out_tongue:

Ab kia hua hamari Urdu itni sehal aur asaan hoti hai, mithaas say bharpoor hoti hai. Urdu kaisay bachain yeh tu az khud bachi hui hai :stuck_out_tongue:

Samachar theek dusurt kab hotay hain, aur aap jis khabar kee baat ker rahee woh tu sara sar afwah lagti hai.
Aur theek kaha aap nay Aqalmand ko ishara kafi hota hai, but is saray qissay mai is qazeeay mai aap kahan hain, na hee aap aqalmand hain na hee zaheen o fiteen, phir phir phir hui na yeh afwah. :stuck_out_tongue:
Acha theek hai aap kee raam kahani bhi sunain gay sun hee lain gay Allah mujh per apna khaas Reham farmaye J/K

Ijazat say hua na hum nay Ijazat talab kee thee, ab aap dekhti hee nahee, phir hum per kohna mashq hoti keh Allah Haafiz kertay hee na jaya karo :stuck_out_tongue:

yar aisa hai kai Yahan Hum London waloun ko garmii kii adat nahii hai .. iss lia AC nahein houtai .. bas central heating hii hai …
waisai mere amal sai tu lagta hai kai Wahan Oper bhii kafii garmii hu gii :bummer:

ChIcken Karahii ya qormai ka souch rha houn… Jis ka bhii Shan masalai ka packet mil gia :hehe: