kal raat 11:00 uncle kay ghar par thaa… or Raboo say baat hoee thee GS par… bilkul “TUN” ho gaya… puray raat … wo lumbay lumbay reply yaad aa rahay thay …
jee bohat mazaa aayaa.. lakin cricket nahin hoaa.. lakin uncle kay haan chalay gayee thay .. shaam ko .. drive kar kar kay.. mere to halat kharab ho gayee thee
kyon halat tight honi thee
keh do.. munna.. jo acha lagay wo bolo
yaar vivo main nay kaha thaa .. main kuch nahin boloon gaa .. Pm’s kay baray main… or waisay bhi yeh batian.. to tum mujh say pehlay poochteen..
or waisay bhi main nay tum ko .. bohat sari choices dee thee.. aaj nahin.. balkay pehlay bohat dafa.. ab tum bhool gayeen to is main mera kya kasoor tum wo karo jo tumhain theek lagta hai… main kuch nahin kahoon gaa.. agar tum saray ya koi pm nahin kar sakeen.. theek hai..
cricket ko kabhi chor diya kero
aur halat iss liye tight honi thee kiyon k itna door jo gaye thay .. aur kiya
tou phir shobii hi theek hai
jee nahi, mujhey woh sub baatien yaad hain.. lakin mein ye iss liye poch rahi hoon k aap baad main naraz na hoon k sub pmz ka reply nahi kiyaa.. mein tou ker doon gi. mera kuch nahi jaaye ga.. mein tou aap ki marzi poch rahi thee
main do cheezon kay bagair nahin reh sakta.. aik cricket.. or aik wo
haan yar.. 2hr car chala chala kay.. ajeeb see halat ho jati hai.. or sub log to araam say mazaay say baythay hotay hian.. songs kay mazaay laitay hain or main.. attention rahooooooooo
shobi blush
kya yaad hai tumhain.. main naraz kyon hon gaa.. dekhoo vivo.. agar tumhara dil chahtaa mere pm kay reply karnay kaa.. to tum .. pehlay he kar chuki hoti.. monday tak wait naa karteen… kyon kay wo puranay hain.. or ab tak boring ho chukay hain.. ishe liye shayad tumhara dil nahin chah raha.. balkay agar main tumhari jagah hota to… mujhay bhi aisa he lagta… or wo cheez nahin karni chahyay jiss ka dil naa chahee.. or wo baatain bhi nahin karni chayain jo puri na kee jaa sakain…
do cheezien, aik cricket aur aik aap ki toyota hai na
hehe, ab tou majbori hai na, koi aur chala nahi sakta.. tou aap ko hi chalana parey ga
mein ne aisi kiya baat ki jo pori nahi ho sakey? shobii mein ne aik baat pochii thee, mein ne pm ka reply kerna thaa.. ussi din hii, lakin phir aap ne monday tuk ka time diya tou mein ne socha k mondaY ko hi ker doon gi.. acha ab choro iss baat ko..