Where are you ...

dekhain abhi bohat zyada shanpati ho gaye hai…:hoonh:..ab aram se bata dein kia yaad aya tha acha :bailan:..warna aap ki bachi kuchi sehat k liye acha nahi hoga…bailan..phir mut kehna k chaitavani nahi di thi..

aur aap tuk bhi GUSTAKH ki khabar puhunch gaye :smack:.. ade vade vade reporter hain is dunya mein…Cnn aur bbc wale bhi sharminda ho jate hoon gay … aaj kal k logon k paiton mein baat hi nahi tiki…matkoon mein tu khair tik bhi nahi sakti :halo:… aur waiswe bhi mein ne USSSSSSSS gustakh ki baat nahi ki thi…dosre ki ki thi blush…yani Bukhar ji jo aye they 2 din k liye bummer..

aur jis jasoos se aap ko hamare online aney ki khabar milti hai…unhi jasoos se zara poochein k kab ati hoon aur KAHAN se aati hoon…aur GS per bhi chakkar lagati hoon k shayad namoone hoon..per wohi baat poosti panna bhi tu hai aaj kal k namonon mein..:hoonh:..

aur agar chashme ley kar gaye hotey tu nazar atey na WOH log…agar nahi bhi aye tu bhi theek hai..balkey acha hai…kam az kam Buri nazar se tu bach gaye…hoonh

kya jawab…meine kaha tha na kal parso kuch kahoonga :smiley:

kaun aa gaya to kisko bhool gaya??? :halo:

and reply kar diya hai tumhare last message ka :halo:

haan haan bilkul bilkul..tum ne ‘apni’ urdu upar jhad kar dikha hi diya hai k kaun bewaqoof hai..:halo:…

aur dekho bibi..apne khitab apne paas rakha karo..kitni bar kaha hai tum se..kyun bant ti phirti ho :smack:…tum per hi suit karte hain aise khitab…jaise, jahil, bongi, maasi, bewaqoof..aur aur..duffer bhi..aur of course churail.yeh bhi koi kehne wali baat hai :halo:..andhey ko bhi nazar aa raha hai

aur Dulhan wale chakkar ko yaad na dilao :bailan:..zakhmon per namak na chidko :teary1:..

:hoonh: sab bahane :stuck_out_tongue: :snooty:

Shobi: :wave: kaise ho bache? :halo:

yeh kamran ne pata nahi kya keh diya tumko and tum mujh se pooch rahi ho baar baar ki kya hua :halo:

itne masoom nahi hain aap :hoonh:

haan…2 hourz ke baad :hoonh:

Naniiiiiiiiii.. bolay to apun ke Wat lag gayee aay yar :teary2: mut poccho… :smiley:
Subha ho gayee Nani .. aay Nani …Naaaaaaaaaaaaaannni :hehe:

aaj to Rabbooo Aunty bhi Taqreer main Mast nazar aati hain :hehe: TIGHT or RIGHT :k:

haan hoon to sahi …bhola bhala masoom (:halo: ) miskeen

aur koi 2 hours ke baad nahi kiya bas 3-4 messages baad hi kar diya tha :halo:

Is thread main sirf aik he muslim hai… :halo: Salam ka jawab to dain yar :smack2: hadh hai janaab :silly:

jhoot nahi bolte :hoonh: gunnah milta hai…apne saare khitaab mujhe matt do…khud hi rakho…mere paas aage hi kaafi hain…jo mujh pe khoob suit karte hain…jaise ke pari :Pretty: :snooty:

haan naa…andhey ko bhi nazar aa jaye magar tum ko nahi aye gaa :stuck_out_tongue:

kon bani dulhan :hula: aur kon dulha :halo: saari kahani sunao abhi bailan

abhi kahan hoe ziada shanpati, abhi tu shuru hoe hai .. :stuck_out_tongue: waise bhi battanai ke baat naheen hai, verna GUSTAAKH bura maan jai ga :halo:

oh tu doosra walla GUSTAAKH bhe hai, aor woaaya tha.. aor sirf du din ko he… han zahir hai usnai bhi tuhara kia bigard laina thaa… apnaa sa moun lai kur daffa ho gia ho ga… challo khair hai umeed pur dunyaa qaim hai .. kabhi na kabhi asle GUSTAAKH bhe wapis aaye ga.. aor saath lai kur challa jai ga :hula:

aor hum yahan ke baat naheen kur rhai MSN ke he baat kur rahai hain.. pakistan se tu kitne bhe daffa online thaa kabhi naheen dikhein… balkai aaik dafa bhi online naheen thein.. baad mai jasooso nai bataya kai raat ko online thein, jab hum bhe online thai aor kaheen aor baat kur rahai thai :hoonh: lihazaa ye bahana apnai paas he rakhoo snooty

shukkar hai na nazar naheen aaya, han aik song mai daikha thaa college ke chatt pur du kuwai gana gaa rahai thai… saath mai aik bulbul bhe thee… unhee ke tu baat naheen kur rahe ho … konfused

khair choro…us chalako maasi ko yaad na dilao ab…woh tu bach gaye…aap shayad na bachein :mad:bailan..

aur itna bada jhoot bolne k baad bhi aap ko lagta hai k aap sach kehte hain…k ‘aap hamesha sach kehte hain’..:halo:..chchc ilaaj logoon ka kia ilaaj hai..halo…aur Mr. Bongay…woh wali bride tu eik hi bar banon gi na..abhi tu waise bhi UN k begair ban rahi thi blush…aur utnaa make up nahi hoga shayad jitna asal bride ka hoga.. aur acha tha na practice ho jati..per khair choro…acha hai ussi din tayyar ho kar woh gana bhi ga sakti hoon..mein ne pehli bar ley k us ka pyaar kia hai singaar ho hooooo…:blush:

waise yeh bataye aap kia kar rahey they..kaun kaun si bongiyan mar rahey they..aur aunty se baat howi…msg diya :bailan:..chunri chunri…teary1

oh Munnnnnnneeeeeeyyyyyyyyyy… ws ws jeete raho, khush raho, dodo nahao, pholo phalo :bailan:..

Munney tumhey pata ahi k tum ne kia gustakhi ki thi ..:bailan:…tum khamakha awayeen mein kal mujhe yaad aa rahey they…:halo:..

ainda aisi gustakhi na ho acha..:-|…waise kia hal hai..:halo:…

ro kyoun rahe ho bache? toffee khaani hai? :stuck_out_tongue:
subah kaha…idher tu raat ke 1.45 hain :sleep2: :bummer:

kiya mat poochoon? :konfused:

app bhi jeete rahain… khush rahin.. dood say nahian.. takay gori ho jayain :Pretty: or phool ke tarha phool jayain :rotfl:

Is Gustakhi ka bohat bohat sorry chahta hoon.. :mocking:
kyon MAIN HON NA dekh kar .. mujhay Shahrukh mamoo ke jagah day dee thee :smack2:

jee jee… aisa galti nahin ho gee… :silly: mere haal bayhaal hain.. abhi apnay uncle kay ghar baythaa hoon.. dosray state main .. drive kar kar kay.. Wat lag gaye :nook:

lo ab maine kya kar diya :frowning: mujhe kyon peetoge tum???

yeah yeah waise bhi saari dulhane dekh kar darr hi lagta hai mujhe to itna saara makeup hota hai ki :-S to tum to apni real shaadi mein bhi kuch zyada na lagaana…bas thoda moda sa theek hai :smiley:

mein koi bongian nahi maar raha tha…tumse kisne keh diya…

oh haan mom se aaj afternoon mein baat hui hai …message de diya gaya hai chunri aa jayegi in a week or 10 days…yahan aane ke baad kya karna hai tum jaano :snooty:

me dont like toffee.. me prefer lollypop :yummy: watermelon flavor :wink:

itni raat ko app log kaisay internet use kar laitay hain :smack2:

SOOOOOOOOOOOO Jaoooooooooo :bailan:

bunch of GS addicts :smiley:

mat poochooo yar.. :stuck_out_tongue:

Kamo kaka..ab ghaur se kan phad kar baat sunain :bailan:..agli post mein pehle woh baat batana jo yaad aye thi…is se pehle k bhool jao bata dein…aap ki omer ka koi bhaorsa nahi..:halo:…

aur Allah aap ki mano kamna poori kare :blush:…aur jo hamey ley jaye ga woh GUSTAKH nahi ho ga acha …bailan..UN k sath khabardar koi gustakhi ki…ley jayein gay ley jayein gay dilwale dulhanyya ley jayein gay blush… khair abhi tu kafi samay hai..haye rey Lamhey judai k …yeh film dekhi? yeh bhi UN ki hai…kissi zamane mein banaye thi unho ne jo ab release karna yaad aye hai :halo:..

aur Mr.. mein ne kaha hai k un jasoos se poochein k mein KAHAN se online howi thi.. smack…hamare paas sirf 1 hi id nahi hai…vade log vadi vadi baatein..aap nahi samajhein gay :snooty:.. hum kissi aur id se aye they…balkey ussi id se aatey hain…agar us id tuk puhunch sakte ho..tu puhuncho…shayad aap se baat kar k aap k msn ki bhi shoba badha dein :snooty:..

ji nahi mein un do kavoon..yani zayed khan aur amrita rao ki baat nahi kar rahi…halo..mein us jugno ki baat kar rahi hoon..jo poori film mein sab se zyada chamka hoga…wah wah wah kia dialogue haiiii :eek:..javed akhtar tu doob gaya ho chullu bhar pani mein…mocking

pari aur tummmmmm.. :eek:..chi chi..khamakha pariyon ko yani hamey itna badnam mut karo acha churail khatoon :bailan:..

aur hum ban rahey they dulhan :teary1:..begair dulhe k :halo:..
per ab nahi ban rahey..ab talaq dey di hai :snooty:

Ps:..tum tu shayad ja rahi thi na :halo: