Nik aap yahan hoti hain ziada. Main aap ko cafe main miss kar rahi thi.
Aap kay moderator kay side main parenting daikh kar socha kay yay parenting kartin hain shayad Guppies and Guppans ki.
Abhi raaz khula.
To the point.
Aap ki buchchi bohat hi ziada zaheen aur creative hai.
Wohi buchchay bohat hi boltay hain jo bohat ziada creative aor zaheen hotay hain.
Wo sawalat bhi bohat poochtay hain.
Unko chup karanay ka bahtareen zariaa yay hai kay aap us say aisay sawal jo inkay zahan aur soch say zara oper aur creative hon wo kia karain…Is tarha karnay say usko aik to mauqa milay ga mazeed apni creativeness ko barhanay ka aur khamosh bhi rah sakay gi.
Is kay ilawa aap us ko uski age say agay age ki cheezain sikhain aur par’hain wo jald pick karay gi aur sub samjhay gi.
Usko aap hamaysha uski age say ziada class walay 6 age hai uski to aap ussay 7 8 aur 9 age walay games jo educational bhi hon khailnain day.
Is tarha aap apni bucchi ko extra genius bana sakti hain. Yani uski zahanat ko nikhaar sakti hain.
Ussay ziada say ziada par’hain ya parhanay ko dain. Agar wo parhna janti hai to ussay acchi achchi kahanion ki book jo creative qism ki hon aur interesting bhi dia karain.
Uska interest bhi daikhain wo kis main ziada leti hai us ki batain karain aur uskay baray main sikhaain.
Baqia mazeed aur add karoon gi baad main abhi kay liaay itna kafi hai.
Sorry main nain sirf aap ki post par’hi aur kisi ki naheen is liaay agar kisi ki baat repeat huwi ho to maazrat.
Aap sochain gay mujhay itna kaisay maloom huwa to mera aik bhai jo mujh say kafi chota tha wo aisa hi tha I trained him and taught him.
He is masha Allah so genius.