When and how


Eco I agree with you but look again their intension is different.Woh sahaba to jihaad per gaye they war mein jab koii jata hai yaa gorilla jang jab lari jaati hai us mein yeh thori hi pata hota hai ke aap zinda rahein gay ya nahi but it is not suicide.Rashid Minhaas ne jo kiya woh suicide thi but for different purpose he wanted to save his country not he was running away from responsibilities.
Lekin yahaan per jo baat discuss ho rahi ahi woh emotional suicide ki baat hai and woh ghalat hai aajkal ke frustated naujawaan jo kertay hain woh yeh hota hai ke ham apni jaan isi liye de rahye hain ke ham apney biwi bachon,maan behnon ko takleef mein nahi dekh saktey to kyoon naaa ham apni ankhein band kar lein baqi un per jo guzray gi us se hamara koii taaluq nahi.Agar woh yehi soch lein ke ham himmat karein gay and difficulties ko face karein gay to baaqi sab ko hosla miley gaa.

And jahaan tak aaj kal ke terrorist attacks kaa taluq hai woh log inhi azeem Sahab ki misaalon kaa ghalat matlab le ker aatey hain brain washed, idiot people .haan aajkal ke ulma ko bhi ijtehaad kerna chahiye ke suicide tareeqa khatam ho jaaye jab jang ki soorat-e-haal ho to sabhi ki jaan ki baazi lagi hoti hai.