janab main os orat ka rona nahi bhool sakti jis ke shohar ne twaif se shadi ker li(I mean aylan ker diya ky han main os ky sath rehta hun or rahon ga. Log hamary Pakistan main Muslaman kehty hain dosri shadi ki ijazat hy merd ko os khandani orat ky 3 baity hain or byti ab mujhy ye bataiy jab Allah ny Qurran main insaf ka hukam diya hy tu kiya ye insaf hai ky bakirdar orat ko bas khandani hawalii ki zeenat bana ker rakh diya jaay or khud dosri ky sath rahy woh merd.
Woh banda kabhi kabhar ata hy woh ghareeb minatin kerti hai ky mujhy bhi apny sath ly ja ker rakh lo main kuch nahi kehon gi bas tumhin roz dykh tu liya keron gi or neem pagal hu chuki woh orat os ke bachon ku ju jaiz olad thy kis baat ki saza mil rahi hai? Ham jazi oladon ky huqooq per tu twaju daity nahi najaizon ka bara dukh cherhta hai:(
or yaqeen kijiy I was like this
Jab os ne mujh se kaha dykhu main ny tu apny shohar sy muhubat ki hai n aosy chahy mujh se na hu.
Mujhy nasihat ki agar woh tumhin chory bhi tu tum os ko mat chorna woh bewafa sahih tum tu nahi hu na:teary3: Main ny kaha main aap jaisy falsafay muhubat ki qail nahi kiya keron. Per ye aik nasoor hai hamary muashry ka 4 shadion ky Islam se agy tu Islam reh nahi giya oper se shadi nahi najaiz taaluqat ker ky kehty hain on ka zikar na kero gunahgar hu jaao gy zani ko zani na kahu:(