Re: What the poet wants to say?
isii baat par mujhe ek Haqeeqii taareeKhii waaqi’a yaad aayaa…ek baar Hazrat Nizaamuddin ke atraaf meN janaab-e-'allaamah Iqbaal aur janaab-e-Hasan Nizaamii saaHibaan 'alal subHo Khiraama Khiraama jaa rahe the k unkaa guzar Ghalib ke maqbare ke saamne se huaa to Hasan Nizaamii saaHib ne 'allaamah se farmaayaa k “aaiye zaraa Ghalib kii mazaar pe faatiHaa paRhte chaleN”…is par 'allaamah ne farmaayaa k "Ghalib? kaun Ghaalib? vohii Ghaalib jinkaa she’r hai k:
hamko ma’loom hai jannat kii Haqeeqat, lekin
dil ke Khush rakhne ko, “Ghalib!” yeh Khayaal achchhaa hai!
ab jiskaa Khayaal jannat ke baare meN aisaa ho to uske liye jannat kii du’aa maangnii cheh ma’nii daarad?"
is per vo donoN muskuraa kar aage baRh gaye…lol!
this she’r definitely backfired on Ghalib Chachaa!!! ![]()
btw: Khiraam-e-subHo = morning walk ![]()