Re: What kept you from messing up when u were teen
**Mery ammi abba ne khuda ki qasam kabhi koi naseehat nahi ki thi ![]()
Bachpan main Anbiya.prophets ki sachi kahanian zaroor abbu aur dadi aman ne suain phir qisa Chahar Darwesh suniya giya aur primary school main woh kahtam kiya khud perh ke aur is ke ilawa Bas gharmain kiabon ki bhermar thi jin ko perhny per koi pabandi nahi thi is liey ju seekha kitabon se seekha:wink: X2 please mehrbani ferma ker agar yeh perhin tu English main tarjuma ker dijey ga Nomica ke liey Thanks in advance:chai:
Bagh o Bahar Qisa Chahra darwesh ka patt anahi tu yeh link hai ![]()
http://en.wikipedia.org/wiki/Bagh-o-Baharhttp://urdu.wustl.edu/summaries/bahaar.phpPS: Han yad aiya bhaion ko aksar abu laan taan kerty they ke tum perhty nahi sanjeedgi se tumhin workshop per chor ke atta honkuch hunar seekh lo gey:mad3:Imtehan main fail hu ker mera pais amat berbad kerna
Meri shadi (ju ab nahi rahi) ke moqa per bhi abbu ne yeh trekhi jumla bola aur main ny kah akhuda ka wasta abbu meri shadi aram se hu lainy dain bad main workshop chor anna in ko
tab abbu khamosh hu giey mujhy dant bhi nahi sakty they os moqa per jab main rukhsat hone wali thi aur sab behan bhai mery is jumly per khub hansey they abbu ke kamrey se janey k ebad
**