Nimaz o roza o qurbani o Haj
Ye sab baqi hain, tu baqi nahin hai
Restored attachments:
Re: What Iqbal wanted to say?
MUqwee Bhai, maiN ne 'Kulliyaat-e-Iqbaal' saaraa chhaan maaraa magar mujhe yeh she'r vahaN nahiiN milaa...ho saktaa hai merii nazar se ojhal rahaa ho...please kuchh bataayeNge k yeh she'r kis majmoo'e meN hai?
internet pe mujhe yeh milaa hai...yeh kalaam bhii mujhe unke Kulliyaat meN nahiiN milaa! :(
**mohabbat ka junun baqi nahin hai
musalmanon mein khun baqi nahin hai
safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
k jazba-e-andrun baqi nahin hai
**
ragon mein lahu baqi nahin hai
wo dil, wo awaz baqi nahin hai
**
**namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
ye sab baqi hai tu baqi nahin hai
peshgii shukria. :)
Re: What Iqbal wanted to say?
KKF aap Bale Jibreal check karen.. mere paas kulliyaat nahin, magar this reliable site say so:
Re: What Iqbal wanted to say?
shukria janaab bahot bahot :)
Re: What Iqbal wanted to say?
chalen jane de jis ne bhi likha ho, aap kia samjhe iss shair se?
Re: What Iqbal wanted to say?
mohabbat ka junun baqi nahin hai
musalmanon mein khuN baqi nahin hai
safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
k jazba-e-andruN baqi nahin hai
ragon mein lahu baqi nahin hai
wo dil, wo **awaz **baqi nahin hai
namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
ye sab baqi hai tu baqi nahin hai
agar aapkaa raqam kardah she'r isii kalaam kaa hai to yeh kalaam Iqbal kaa kaise ho saktaa hai kiuN k yeh to technically bhii saHeeH nahiiN hai...aap Khud dekheN k qawaafii jo barte gaye haiN vo ham qaafiya nahiiN haiN..."KhuN" aur "andaruuN" to ham qaafiya haiN magar "TU" aur "aawaaz" to qata'n nahiiN haiN...mujhe shak hai k daal meN kuchh kaalaa hai yaa poorii daal hii kaali hai! :)
aapkaa kia Khayaal ahi? :)
Re: What Iqbal wanted to say?
agar shaa’ir kaa ta’aiyun ho jaaye to she’r ke ma’anii samajhne meN madad miltii hai…because…we know where the poet is coming from. it’s important to know! agar Iqbal kaa she’r hai to iske ma’nii muKhtalif ho sakte haiN aam sho’araa se.
ba-zaahir to lafzii ma’nii yehii huye k:
**
rah gaii rasm-e-azaaN, rooH-e-Bilaali na rahii
falsafa rah gayaa, talqeen-e-Ghazaali na rahii**
Re: What Iqbal wanted to say?
I'm not concerned about the technical side of the poem. Just wanted to understand what poet wanted to say?
Re: What Iqbal wanted to say?
hamne mar jana hi AAMAAL zinda rahen ge
matti ka jism to qabar me reh jaega
agey hamari EBAADAAT ka hisaab hona hi:(
Re: What Iqbal wanted to say?
hamne mar jana hi AAMAAL zinda rahen ge matti ka jism to qabar me reh jaega
agey hamari EBAADAAT ka hisaab hona hi:(
ari waah! bahooot Khoob! yeh bhii zaaviya achchhaa hai! :)
Re: What Iqbal wanted to say?
ari waah! bahooot Khoob! yeh bhii zaaviya achchhaa hai! :)
muqarrar irshad farmaoun :p
THANK U
VESE ORR KONSA ZAAVIA HI
Re: What Iqbal wanted to say?
muqarrar irshad farmaoun :p
THANK U
VESE ORR KONSA ZAAVIA HI
nahiiN, maiN parH luuNgaa dobaarah se! :D
360 degrees kaa zaaviya! :D
Re: What Iqbal wanted to say?
I HATE GEOMETRY mujy nahin pata 360 ka zaavia
Re: What Iqbal wanted to say?
I thought poet was referring to the relationship between god and human being. Sab baqi hain, sari ibadaten hoti hain lekin taluq phir bhi toota hua hai
Re: What Iqbal wanted to say?
I HATE GEOMETRY mujy nahin pata 360 ka zaavia
I also hate geometry. 10th grade ke theorum kis mushkil aur be inteha ratte se yaad hue the ye main hi janta hoon aur mera khuda janta hai
Re: What Iqbal wanted to say?
kk NE NAHI BATAYA VO KIA SAMJHE ![]()
Re: What Iqbal wanted to say?
KKF technicalities main ulajh gae hain.. abhi khayal ke ooper unka dhayan nahin gaya
Re: What Iqbal wanted to say?
did you not read my post #7? ![]()
Re: What Iqbal wanted to say?
MUQA usi 6 and 7 ka to keh rahi hein
Re: What Iqbal wanted to say?
MUQA usi 6 and 7 ka to keh rahi hein
are baba, #7 meN lafzii mafhoom, jo merii samajh meN aayaa, bataa to diyaa she'r kii shakl meN! :p
ek to tumhaarii spellings...mujhe Dar hai k kuchh dinoN meN "MUQA Bhai" tabdeel ho jaayeNge "MUKKA Bhai" meN :cb ;)