What happened to Beh'noi

Re: What happened to Beh'noi

baat inssani fitrat kee hay

jis cheez say app ka talu.q jitna zyada rahay us ka Assar insan k aqwaal wa aff'aal main khud ba khud anay lagta hay

indian drama or films ka jo nasha is waqt bilkhasoso pakistani awaam per hay us ka yeh assar to bohat he mamoole hay k woh apnee maadree zaban ko bhoolnay lagay hain

baaqee Aankh jo kuch dekhtee hay lub per aa sakta nahi wala muamla hay

mainy kaheen afsssana perha tha jis main writer nay is pehloo ko ujagar kernay ki koshish kee thee kay chotay bachay kis terah Hinduaana rasoomat ko qabool ker rahay hain k ab un kay apas ki baat cheet or games main wohee tareeka-e-kaar aaraha hay

jaisai Rakhe bandhna or woh shaid kia nam hay us rasam k jo hindu mazhab ki awrtain apnay husband ko koi chaand kay aks main kuch dekhtee hain ..nam yad nahi

or shaid yeh bhi tha kay woh mandar main jis terah pooja paat kay scene dekhtay hain us ko bhi apnatay hain

hamaray schools to ab us mayaar k rahay nahi kay in cheezoon ki terbiyat ho jo kuch kerna hay MAA baap nay kerna hay

ab agar Mother sahiba hee kabhi saas bhi bahoo thee ki deewani hoon or abba jaan Aishweriya rayee ki Lachak'tee kammar k to bachay to khudee haree raam **or laal raam banian gay** !