What are you reading?

Re: What are you reading?

nahi ..mainay 2008 main perha tha..ab itnee tafseel say yaad nahi lakin mujhay woh resons yaad hain jis per mainay is ko Aceones k napasand honay ka kaha hai

mujhay maloom hai raja giddh Adab ki dunia main bohat bara naam rakhta hay ..or perhnay k dermiyaan bohat say aysay maqaam hain jahan main bohat mutaasir bhi hoye jaisai rizq-e-halal or haraam ki jo is main philosphy samjhayee zabardast thee

lakin rohaaniyat per writer ki tehqqeq bohat kam hai or is cheez main mujhay afsos hai ..woh insaaf nahi ker paayen…or i dont know k yeh adab ka taqaza hay ya kia …alfaz ka khula pan or baybaak manzar kashi is sub say tabiyaat or zeyhan per acha assar nahi perta …