Welcome New Moderator

Salaam Everyone!
Please welcome your new Moderator: Shiraarty . . .

Welcome Shiraarty! :)

Waasay to mai(n) sharaart nahin karta, ub to sochna bhi namumkin hogaya hai! Ab aap se kaun muqaabla karey...

Assalamu alaikum!
OOOOH! a new moderator eh!

http://www.pak.org/gupshup/redface.gif

COOL! welcome shiraarty jee! let’s see how shiraarty u can be! not more then me when i want to be i bet! :slight_smile: kher, we can have a muqabla! :slight_smile: anyways…have fun moderating! i will see ya around!
Khuda hafiz

Desi munda, yaar tum shiraarat ka socho bhee na... waisay agar tum soch bhee lo.. to kuch nahee!... tum say honee he nahee! yaar ither tum nay mukablay ka ziker kiyaa aur uther say log aasteen charhaa ker aa gaye :)

Hayaa... O bibi! o too to bhai aatay he muqablay pay aa gayee... baba, saans to lenay do...koi chaye pepsi poocho.. muqabla to hota rahe ga.. kuch sabar kero.. zara mood banay... hum bhee yaheen hain, aur aap bhee yeheen ho, jaldee kis baat kee hai?

and thanx for calling me shiraarty "jee" .. i cant believe u actually called me "jee" .. meraa to yaar chota bhai bhee naam lay kay pukaarta hai! aur aap "jee" bol rahee ho!

pata nahee kyaa chakkar hai.. main jahaan jaata hoon, log meree izzat kernee shuroo ker detay hain :)

Chalo koi tow hai izzat karney walaa, arey khush ho Shiraarty Miaan
(lo, mein ney bhi Mian keh diaa ! uff!).

Anyways, Hayaa ke izzat karney seh uss nei yeh dikhayaa keh shiraarty kaa opposite hai : Sharafat, ; but you know what, she is both : Sharr as well as Afatt !! :)

{Just kidding Hayaa}
WELCOME !!

HAIN!
ufffff! Umar sahab…sahi pehchaan liya aap nay! ab kiya hoga!

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

tsk tsk tsk ab aap ki kher nahin!

Shiraarti jee! aap ki izzat kerna to mujh per farz hay naa! aap itnay aalim fazil moderator jo thehray! :stuck_out_tongue: laikin aik baat hay…u gota learn to be persistant! kabhi bibi, bhai aur kabhi baba…itnay saray namon say mujhay nawaaz dala! koi aik naam chunyay jee! :)haan jee!
hun tusssee ay dusso key chaa piyo gay kay thanda? ya kuch khana pasand fermao gay? (jootay) :)hehe…kher…muqabla tay ho kay raway gaa! mennon jitten daa bohot shoq ay!
pher gal howay gee jee
Khuda hafiz
P.S. jay tuannon enni izzat-afzai pasand naee tay duss chuddo…mairay kol uda wee solution ay! wink

Umer sahib... jab ''miaan'' kahaa hai to saath bonus main aik ''beewee'' bhee day detay! :) :) :)

hayaa!
aap ka naam hayaa hai??
acha!
waisay mujhay urdu main ''bay-hayaa'' kehtay hain!!
o yeh aap kyaa keh rahee hain? meri izzat kerna aap pay farz hai?? o bibi! o mujhay to log wattay bhee nahee maartay! o hosh kero hosh!

o bibi! o tenoo tay punjabi wee aundi ai!! o khair oway!!
achaa.. hun tusee inj kero, kay chaa banao.. tay jinee der tusee chaa banaunday o.. unee der main thanda pee lawaan ga!

aur jahaan tuk khanay ka sawaal hai... to jooton kee zaroorat nahee...mere paas bilkul naye hain!

nahee nahee... main nay khareeday nahee! asal main kal main masjid main namaaz parhnay geyaa thaa! :) :)

waisay tuwanoo jootay maaran da bara shok ai.. kee gal ai? ... tusee pichchon mochi o?? :) :)

okay so u like to win huh? phir to ''mukaabla'' zaroor ho ga! aur main zaroor haroon ga! mujhay aisee jeet nahee chaihye jis say aap kee haar waabasta ho!

aaj zara main ''form main nahee'' (!) ...due to a personal reason i am extremely depressed.. thanx for cheering me up :)kal say mukaabla shuroo ker lo okay? :) but dont forget.. shiraarton kay mukaablay kay liye this is not the appropriate forum.. just switch on to the general jokes section :)

Shiraarty jee!
Assalamu alaikum!
jee nahin…maira naam hayaa nahin hay…maira “kaam” hayaa hay! :)aray nahin samajh aaee jee? chalyay mai samjhati hon…mai apnay paas aik motta saa dunda rakhti hon aur jahan kahin maira wasta “bay-hayaaon” say perr jata hay to apna kaam shuru ker daiti hoon! agar ab bhi samajh nahin aaee jee to koi baat nahin, aa jaey gee! :slight_smile:
kher, mairay jooton say itnay lagao ki koi khaas wajah nahin hay…buss jooton ko yaad rakhnay say insaan ko apni asliyyat yaad rehti hay…zameen per rehna aasmaan per urrnay say behter hay naa! :slight_smile:
haaeein? yeh kiya baat huwi? mujhay aisay muqablay pasand nahin jin mai muqabil, muqablay say pehlay hee haar man lay! ufff! yeh bhi koi baat huwi?! agar aisi hee baat hay to muqablay kaa koi faida nahin!

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

mai yeh hasrat dil mai liyay hee kahin chali jaoon gee! sob
aur haan…depression sehat kay liyay nuqsaan deh hay baqool wazaret-e-sehat of Hayaa!
keep smiling…
Khuda hafiz

Yeh dandey waali baat karr keh aap ney apni reputation khraab karr li Hayaa jee!
You know, bandey kaa aik perception hota hai for others whom he/she hasn't met or seen aur kyaa baatein hamaarey tow perception kaa berdha gharq ho gaya hai !

Hore Shiraarty mian, hum bhi abhi talak kunwarey hein, shiraarty honey ki hesseyat seh aap ka farz hai keh hamarey liye aap hi koi changee jai kuddi lub laaow. Teh tonnu wee punjabi aundi hai teh hunn tow(n) mein tonnu sirjee, ya baau saab yaa saieen pukaraan gaa. You know punjabi slang is the ultimate. hai keh nahin !!? :)

Salam!
Umar Sahab: yeh kiya baat huwi? aik dunday nai reputation kharab ker di??? wah...aap to waqaee logon ko parakhna jantay hain! :> aur bairra gharaq nahin huwa...abhi tair raha hay...Allah nai chaha to bairrra paar ho jaey gaa! :)
Khuda hafiz

:slight_smile:
yaar shiraarty, yeh log to aapis main hee danda-bazi kernay lagay..too to mere baap jaan bacha kay patlee galee say nikal lay!

yaar aaj pata nahee main baat ker sakoon ga.. aaj to mere saath baree buree huwee yaar… taang pay chot lug gayee hai

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

… hyyee… nee meree baybay… hyyyeee…hyeeee way mera ‘leg piece’…

chalo choro…
haan to hayaa jee… yaar pehlay baybay kaa danda kum hai jo aap bhee dandaa lay kay aa gayee… o baba main nay to kyaa kiya hai? chalo theek hai, theek hai.. maar lo danday.. dhiaan rakhna.. mera ‘leg piece’ pehlay hee kharaab hai :slight_smile: baybay nay tor diyaa hai!!!

yaar kasam say main itnaa bhee bayhayaa nahee… kabhee kabhaar thora sa bay-hayaa to hur koi ho jata hai… is ka mutlub yeh thoree hai kay danday lay kay us ko tor phor diyaa jaye!!!

haan to mukabla karoon ga… zaroor karoon ga! ab khoosh ho bibi?? ker lo mukaabla.. haar naheee manoo ga! haar nahee maani.. jeet maan lee!!!

umer bhai… meraa weer, main to abhee chotaa sa hoon… yaar abhee 6,8 saal shadi ka koi chance nahee… abhee tak to koi larki is zameen pay paida nahee huwee jo shiraarty say shaadi kay kaabil ho!!!

achaa ab batata hoon kay meri taang ko kyaa huwaa… main helicopter pay jaa raha tha… menoo thund lagee…main pakhkhaa bund ker ditaaa!!!

Apney app se sharaarat, well, that's a first!
Bhugtow sirjee!

Oh phayee, oh tu kee samajh reyaein, mein wee teri tarah hi hun kissi level teh bhi shaadi di age tow baharr ayn. Anyways, kyaa patta agar kabhi koi kaheen mill gayee tow Allah ko koi neymatt deney se inkaar tow nahin na karta ;) :)

Hayaa jee, hum yeh nehin kehtey ke hum khatt ka mazmun jaan jatein hein lifafaa dekh karr. Yahan tow hum neh lifaafaa bhi nahin dekha. Allah karey ke hamaari perception ka bera paar ho aur humein aur disappointment na ho. :)

Changaa Feir,
Rubrakhaa

yaar yeh soorious soorious gallaan na kiya kero!

SOmeone else jee, tusee aa jaow maidaan ich, aur gallan kee tussi jo chahe karo ! :)

Assalam-o-Alaikum
oh ho bhayee yahan to lagta hai baray muqablay bazi ho rahi hai..
hayaa..beshak tum say koi nahee jeet sakta.. ;)
bechay sharaati kee to shamat he aa gai
shaararti jee ab aap apni kher manayeye.. :))

Assalamu alaikum!
Sohaaaaa......hehe...ufff, behen mairi, ab mai yeh to nahin kahoon gee keh such naa bola kero laikin yeh to aap mairay muqabil ko aa ker dera rahi hain...or agar woh bhaag gaey to phir mai kis ko haraaoon gee? Umar Sahab to pehlay hi haray huway hain...

Shiraarty jee:
Adaab...kiya fermaya aap nay? muqabla ho ker rahay ga?! Mashallah...yeh huwi naa baat...laikin abhi say haar jeet ki baat naa karain...aanay wala waqt hi bataey gaa keh kon jeetta hay! :)aur haan, ufffffff....itni baywaqoofi? pankha band kiyoon kiya? uss ko ulta chala daina thaa...garam air aani shuru ho jati!!!

Umar Sahab:
Agar aap zindagi mai khush rehna chahtay hain...to aik baat ko pallay say baandh lain or woh yeh Keh KABHI bhi...kisi say bhi, kisi qisam ki tawaqqo` na karain! jab kisi say kisi qisam ki ummeed nahin hotee aur phir waisay bhi koi kabhi kisi ki expectations per poora nahin uterta...to phir insaan ko "disappointment" ka samna nahin kerna perrta!

Phir milain gay...
tab tak kay liyay...
Khuda hafiz

Hayaa, Hain??
Arey I thought yehaan mazaaq aur shararton ki baat ho rahi thee. Eh twonnu kee hogaya aik dumm !
Aur aap ney hum seh muqabley ki baat hee kubb ki. Apne aap hi haraa diya, woh bhi ayewaien mein, o jee hunn teh izzat daa sawaal hai, phir ho jaye jee !!! But how are we judging this thing. Soha, aap judge rahein gee kyaa? Biased tow nahin hein ?
;)
Ajee Hayaa jee, kahaan gaee aap ki woh hansi :), woh wink ;). Please agarr meri baat buree lagi tow muaaf karein. The truth is that keh mein bhi yeh mantaa hun ke zindagi ko hansi khushi jeeow, naa keh aisey keh jesey zindagi ko gaali de karr bhagey ho(n). Anyways, cheer up lady hore field wich aa jaaow.

Taataa !!

haha...aray!
Sorry Umar Sahab...aap to serious ho gaey! hehe...i was just teasing u! don't worry naa!
khudi to kaha thaa keh mai shar aur aafat hon...haha...aur ab khudi pehchaan bhi nahin sakay? ;)
oh so u want to have a muqaabla with moi too? :)aray naiki or pooche pooche? mainay kaha naa...i like winning! :)to phir muqaabla ho hee jana chahiyay ab....laikin kahan or kaisy? hmmm?

Later :)

aray wah ab mazaa aayee gaa naa muqablay ka
jald he pata chal jaye gaa kon kitnay paani main hai… :wink:
hayaa…wesay btw yeh mukaqbla hai kiss cheez ka… :)zara hamay bhi to pata chalay..

Umar Talib jee agar aap hamain judge banana cha rahay hain to I don’t mind..

http://www.pak.org/gupshup/redface.gif

)

Hi, shiraarton mukablaa kernaa hai na???
kaafi log hain mukablay waalay....
chalo saaray jokes(G) kay section main aa jaao, wahaan main nay aik topic start kiyaa hai, 'mukaabla' to saaray waheen aa joa!!
(we need to do everything in the appropriate section :))