Re: Welcome Back Anwaar 
dosto, main yahaan newbie hoon. Yeh Anwar saheb koee jaroor cheez hain
jo bhi likhtay hain bahut poetic hai. Dekho kyaa likhtay hain…
chirkin kuch ajeeb saa naam hai
iss kaa naam badal dau
warnaa yaad tau aap kee hai
hamaari taraf saY aap khurchan
ko bhee yaad kar saktaY haiN
waisaY khurchan tau chaawaloN maiN hoti hai
chaawaL tau safed hotaY haiN
safed tau baglaa bhee hotaa hai
baglaa tau parinda hai
parinda tau Shaheen bhee hotaa hai
Shaheen tau laRkiouN kaa naam hai
laRki tau Rukhsana bhee hoti hai
Rukhsana par tau woh gaanaa thaa naa
Rukhsana O jaana hum saY
dau baataiN kar kaY challi jaanaa
kaY mosam hai suhaanaa
wah wah…wah wah…