Re: WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?
i think its right to do masah of feet cuz it is proven in many traditions that prophet( PB U H) used to do that!!
whereas masah of neck is a bidah but still many ppl do that!
masala yeh hay keh quran o sunnat kay naam par (bholay bhalay or sunay sunaey) musalmano'n mai'n aisi aisi bidaat ko raaej kar dia gaya hay jin ka quran o sunnat say door door ka bhi waastah nahee'n. yehee wajah hay keh wazoo jaisay aham tareen amal mai'n bhi uljhaow paida kar dia gaya hay halaa'n keh sub firqo'n ka iss baat par mukammal ittefaq hay keh agar wazoo sahi nahee'n to koi namaz nahee'n.
sirf gardan par hi musalman izafi masah nahee'n kar rahay bulkeh kaano'n kay andar tak masah kay doran ungliaa'n daali jaa rahi hai'n or sath hi sath dono'n hatho'n ki pusht par bhi masah kia jaata hay or turrah yeh keh in amaal ko sunnat-e-Rasool Allah s.a.w.a.w., kaha jaata hay jab keh na to sunnat-e-Rasool Allah s.a.w.a.w., main in bato'n ka koi tazkirah hay or na hi quran mai'n.
or aisay tamam moaamlaat ki asal wajah sirf itni hay keh musalman aam tor par un logo'n say deen laina ziadah behtar samajh'tay hai'n jin logo'n ki apni samajh mai'n deen naa aa saka or aisi soorat-e-haal mai'n aisay gull to qayamat tak khiltay hi rahai'n gay.
tehqeeq ka hukam hamaray maz'hab mai'n hay, magar afsos keh bohat say masalak mai'n ulama yeh keh kar (keh behes mai'n naa parna warna gumrah ho jaow gay) tehqeeq say bhi musalmano'n ko door rakhtay hai'n.
kia hi khoob baat ho keh ab MR. ARMUGHAL ya pairo'n ko dhonay ka koi bhi daway dar fidvi ki janib say diay ga'ay hawalah jaat mai'n say kam az kam kisi bhi sirf aik hi hawalay ki tehqeeq kay baad baat karai'n.