WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

Re: WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

*Armughal brother, *

“arjolakum” kay laam par zair-o-zabar ki behes koi ahmiat nahee’n rakhti hay kioo’n keh dono’n hi soorato’n mai’n hukam-e-masah aqwal-e-ahl-e-sunnat say sabit hay. Ahl-e-bait a.s., or as’haab-e-Rasool s.a.w.a.w., kay mutalliq kutub-e-ahl-e-sunnat mai’n mar’qoom hay keh un ki qir’att mai’n laam par zabar nahee’n balkeh zair hay. Saboot kay liay mulahizah karai’n Tafseer jaame-ul-bayan, Allama Ibn-e-Jareer juz al aashir, safah 55 taa 61 waghaira.

Tafseer Fat’hul bayan, allama ahl-e-hadees nawab siddique Hassan qanooji bhopali, mat’booa siddiqi Bhopal, juzw awwal, tafseer soorah al maedah safah 693 ki ibarat kuch yoo’n hay.

Yaani qartabi nay kaha hazrat Ibn-e-Abbas r.a., say rawayat kia gaya hay keh un’ho’n nay farmaya “wazoo 2 dhonay or 2 masah hay” or akrama apnay dono’n paow’n ka masah kartay thay, un’ho’n nay kaha paow’n dhonay ka hukam nahee’n hay mehez un kay masah ka hukam nazil hooa hay.

Or aamir sho’bi nay kaha Hazrat Jibrail a.s., masah kay hukam kay sath nazil hooay or qatadah nay kaha Allah nay 2 dhonay or 2 masah farz kiay hai’n.

Pass maloom hooa keh saheeh wazoo us’hi mazhab ka ho ga jo 2 masah or 2 dhonay par aamil ho. Jab quran say paow’n ka masah sabit hay to yaqeenan Sunnat-e-Rasool Allah s.a.w.a.w., bhi yehee hay.