2 Baatein:
- Kya wazifa Arabi ka lufz hai ya Sanscrit ka?
- Agar aap ke liye ye naee baat hai … to iss cheez se sabq le lein … Islam mein naee baat ko hum “biddat” kehte hein …

Haerat ki baat hai … biddaton se bachate bachate khudhi un mein aa ja na …
Tamman wazaif jo mere ilm mein hein … un sab mein Allah SubhanaWaTa’ala ke Pyare Naam buland kiye jaa te hein … agar sirf yehee un ka faida ho, Zikr-ullah kabhi …** waqt zaya nahein ho ta …
**
Lekin mera yaqeen aur imaan hai ke aur bhi bohat faidey hein … Zarroor hum ye to keh sakte hein ke kuch wazaaif hadeeson mein bilkul waisey majud nahein hain … lekin unhe iss waja se na mumkin karar de na, ek bohat barree ghalatee hai.