Kyaa haal hain sab kay? Bohat din hogayee aap sab sey baat cheet hi nahi hoi tou socha kah thread khol kar sab ki khairiyat maaloom kar lee jai:) .. tou janab kya ho raha hai aaj kal?
Main woh din bohat miss kartee hoon, jab sab pooranayy guppies mil kar flooding kartay thay..roz gupshup par aatay thay..bara mazaa aata tha sigh pata nahi wohi walay din ab kab waapis aain gay?
Khair…ab bhi kuch nahi bigra..hum sab chahain tou ab bhi waisi hi flooding kar saktay hain jaisay pahlay hotee thee..apni masroofiyaat sey kuch waqt nikal kar..waisay main tou bilkul faarigh hoon aur main roz roz gs par aa bhi saktee hoon..aap bataiyah kya aap aain gay?
hey Dani,
salamz,
how r you ? and
bhool jao puraanay dinon ko ...wo marr chukay...jo zinda hain unn ko samait lo...
kal yeh bhi puraany hojaingay...
phir aik din sab kuch aik yaad ban jaiga... kaheen koi kabhi kisi din keh daiga kay, haan aik Dada abba bhi howa karta tha yahan... bara *yeh *tha... aur bara *wo *tha...depending on their perception ... :-)
Dada Abba puranay dino ko koi bhoolta hai bhala? agar puranay dino ko bhool jaon tou puranay logon ko bhi bhool jaon gee…aur yeh achee baat nahi..puranay log tou sab achay dost hain aur rahain gay unhain koi bhulata hai bhala?
nai yar… Bhulaanay walay to aik lamhay main sab kuch bhula daitay hain :s…
okn dost kaisa dost.. yeh sab bolnay ki baatain hain… aaj kal koi in par yaqeen nai rakhta…aap bhi yaad rakhna chor do… bas bhulaati jao aur aagay barhti jao