Re: Water
Though I always decide not to waste water, but sometimes I realize that my actual requirement was very less than the water I used for shower, washing or any other use in daily life. I really feel guilty when I think of the people living in Africa struggling for few drops of dirty water (with diseases) and are dying due to its shortage.
I heard it somewhere that the third world war might take place due to shortage of water.
Do you think that wastage of water by people living in one place can have a negative impact on people living in another place ?
Bohat achchi baat ki taraf ahsaas dilanay ki koshish ki hai aapnay Peace.
Main to baytahasha pani kharch karti hoon.
Aik dafa main munh haath dho rahi thi to meray bhai nain kaha itna to pani baha rahi ho Allah tala kay yahan hisaab dena hoga.
Kai saal purani baat ho gai hai dimagh main rahti hai baat laikin kum use naheen kia jata phir bhi thor'a bohat kharch karna kam kia hai laikin jitna karna chahyay utna nahee.
Bilkul kisi bhi cheez ko zaya karnay pay us kay asrat to par'ain gay hi uskay ilawa hamain Allah tala kay yahan aik aik zarray ka hisaab dayna hoga jo hum nain zaroorat say ziada istamal kia ho ga ya zaya kia hoga.
Khuwah bijli, pani ya koi bhi shaay ho.
Aur sub cheezon ka to main bohat khiaal rakhti hoon bus pani ka hi istamal kam naheen kar sakti.
Hamain koshish kartay rahna chahyay cheezon ko faltoo zaya honay say bachain.
Suggestions.
1. Pani ka istamal kartay waqt dimagh main rakhain kay Allah kay yahan hisaab dena hai.
2. Nal kum aur thor'a kholain. Full ya taiz naheen kholain.
3. Tapaknay walay nalkon main forun washer lugwain ya khud bhi kar saktay hain.
4. Tub kay bajaay shower say nahain.
Bijli kay liaay:
1. Sonay say pehlay sub lightain bund kar dain. Siwaay aik adad night bulb kay.
2. Jub apnay kumray ya bathroom ya kisi bhi jagah say thor'i dair kay liaay ya forun wapis anay ka irada ho tub bhi light off kar kay jain kioon kay baaz dafa hum sochtain hain abhi wapis aa jain gay forn laikin jidhar jatain hain dair tuk ruk jatain hai is tarha faltoon main light, punkhay ya AC chalta rah jata hai.
Is liay khuah do second kay liaay kioon na ja rahain hon sub off kar kay jain.
3. Jahan kaheen daikhain faltoo main kuch jal raha hai forun bund kar dain.
Apni adat bana lain to achcha hai thor'ay dinon ki practice say adat bun jati hai.