http://www.gupistan.com/gallery/1/flag.gif
Iss ParchaM kay saaey talay hum eik hain hum eik hain
Saanjhi apnii khushiyaan aur hum eik hain hum eik hain
http://www.gupistan.com/gallery/1/flag.gif
Iss ParchaM kay saaey talay hum eik hain hum eik hain
Saanjhi apnii khushiyaan aur hum eik hain hum eik hain
dedicated FoR Rameesha Jee
**Yeh Watan Tumhara hay Tum ho PaasbaaN iss kay
Yeh chamaN Tumhara hay, Tum ho nagh-makaaN iss kay
Yeh Watan Tumhara hay Tum ho PaasbaaN iss kay
Iss chamaN kay phooloN par rang-o-aab tum say hay
iss Zameen ka har zaraa aaftaab tum say hay
yeh Fiza tumhaari hay bahr-o-bar tumhaaray hain
KahkishaaN kay yeh JaaLay Reh-guzar Tumhaaray hain
Yeh Watan tumhara hai tum ho PaasbaaN iss kay
Iss Zameen ki Mitti meiN khoon hay shahheedon ka
ARz-e-paak markaz hay Quom ki umeedoN ka
Nazm-o-zabT ko apna Meer-e-kaarwaaN jano
Waqt kay andheron meiN apna aap pehcHaano
Yeh Watan tumhara hay tum ho PaasbaaN iss kay
Yeh zameen Muqadas hay Maan kay pyaar ki suraat
Iss chaman meiN tum sab ho barg-o-baaR ki suarat
Dekhna gawarah mat Dolat-e-yakeen logo
Yeh watan amaanT hay aur tum ameen logo
Yeh watan tumhara hay tum ho PaasbaaN iss kay
Meer-e-kaarwaan hum thay Rooh-e-kaarwaan tum ho
Hum to sirf unwaan thay assal dastaan tum ho
Nafraton kay darwaazay unpe band hi Rakhna
Iss watan kay ParchaM ko sarr-buland hi Rakhna
Yeh watan tumhara hay tum ho PaasbaaN iss kay
Yeh chamaN tumhara hay tumho naghmakaan isskay
Yeh watan humara hay Hum hain PaasbaaN iss kay
Yeh watan humara hay Hum hain PaasbaaN iss kay**
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary.gif
very touchy NaGhama
PAKISTAN ZINDABAAD
Gul U go Girli
.. zabardast … thankoOoOoz for such a sweet dedication.. loved it
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
***Chaand meri zameeN phool mera watan
Chaand meri zameeN phool mera watan
mery khetooN ki matti meiN lal-e-yaman
mery mallah lehrooN key paley howey
mery dehkaaN paseenoo key dhaley howey
mery mazdoor is dor key kuhkan
mery foji-jawaaN jurratooN ney nishaaN
mery ehl-e-kalam azmatooN ki zubaaN
mery mehnat-kashooN key sunehrey badan
meri sarhad pe pehra he iimaan ka
mery shehrooN pe sayaa he quraan ka
mera eik ik sipahi he khebar -shikan
mery dehkaaN yoonhi hal chalatey raheeN
meri matti ko sona banatey raheeN
geet gatey raheeN mery shuhla badan
chand meri zameeN, phool mera watan***
edited
[This message has been edited by Rameesha (edited August 05, 2002).]
Dil Dil Pakistan
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif
Dil Dil Dil
Aisi Zamee’n
Aur Aasma’n
Inkay Siwa
Jaana Kahan
Bhadti Rahay
Yeh Roshni
Chalta Rahay
Yeh Karvan
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Dil Dil Say Miltay Hain
To Pyar Ka Chehra Banta Hai
Chehra Banta Hai
Phool Ik Ladi Main Piroyen To Phir
Sehra Banta Hai
Chehra Banta Hai
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Aisi Zamee’n
Aur Aasma’n
Inkay Siwa
Jaana Kahan
Bhadti Rahay
Yeh Roshni
Chalta Rahay
Yeh Karvan
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Dil Dil Pakistan
Ghar Apna To Sabko Jee Jaan Say
Pyara Lagta Hai
Taara Lagta Hai
Hum Ko Bhi Apnay Har Arman Say
Pyara Lagta Hai
Taara Lagta Hai
Ho
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
Dil Dil Pakistan
Jaa’n Jaa’n Pakistan
good job rameesha&gul sister
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/kiss.gif
mujhay buhat kam hi naghma yaad hai
yeh waala thora buhat ata hai
Jeewe jeewe jeewe pakistan
pakistan pakistan jeewe pakistan
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif
ourr nahie yad sholly
but a very good thread love it
Gul dil khush howa
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Masoom Muskaan khushamdeed :).. our yeh bhi kam naheen he. bas yoonhi jitna bhi yaad ho sunati jaye
**Zuhra he atarad he falak nah sitara
daryaooN ki mitti sey bana dais hamara
is dais meiN duniya key khazaney bhi naheen haiN
sad-shukr keh zillat key fasaney bhi naheen haiN
her shahs key hontooN pe taraney bhi naheen haiN
haiN zahm-e-jigar pe dikhaney bhi naheen haiN
he chain mera rawi-o-sutlaj ka kinara
daryaooN ki mitti sey bana dais hamara
Gumnaam shaheedooN ki wafaooN ka yeh ghar he
aankhooN key sitarooN ki yeh purnoor dagar he
Parcham he hilali mera ik chaand sitara
dariyaooN ki mitti sey bana dais hamara
Mazdoor pe ab zulm ki bateeN naheen hooN gi
muflis ka muqaddar, seyaa rateeN naheen hooN gi
ab ilm key dushmanooN ki bhi ghaateeN naheen hooN gi
insaaN ko jahalat sey yeh mateeN naheen hooN gi
aaeeN gey kafan bandh key jab us ney pukara
DariyaooN ki mitti sey bana dais hamara**
thanks nikii .. aap bhi aawo na kochh ley key
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Gul aaj aap ki taraf sey koyi nazarana naheen aya abhi tak ![]()
Yeh nazm un jawanooN key naam, jo Pakistan sey door uski salamti key liye us sey door benaam zindgi guzar rahey haiN…
*Yeh kaisi rut he
keh aanganooN meiN to phool khiltey haiN our aankhooN meiN
pichhley mousam key khushk pattey bikhar rahey haiN
gulaab charooN taraf khiley haiN
magar dareechooN mein janey walooN ki rah taktey udaas chehrey
khizaaN ki dehleez pe kharhey haiN
hawa key jhonkey sey khirhkiyooN key siyaa pardey jo sarsaraeeN
to asia lagat he jaisey hathooN ney chorhiyooN key bijaye bichho pehan liye hooN
khamoosh bachey tehi nigahooN sey apney totey hoye khilonooN
ko dekhtey haiN to laney walooN key khwaab saaye
sakoon neendooN meiN jagtey haiN
uljhtey balooN meiN pichhli rut key lagaye pholooN ki sabz khushboo
shafeeq hathooN ko dhoondhti he
pichharhney walooN ki yaad kanooN meiN larhkharati hoyi sadaooN key jaal bunti he
aas chunti he
yeh kaisi rut he
bahar aa ker khuley kuwarhooN ko khatkhatati he
bedili ki hawa dareechooN meiN sarsarati he
our peeley gulaab aangan meiN khil rahey haiN
yeh kaisi rut he
keh paniyooN meiN tumaam manzar ghirey howey haiN
magar nigahooN meiN pyas likhi he
kaisa nashaa he jo sumander samaa geya he
khumar ghum ka, lahoo key sehra meiN dorhta he
Watan ki mitti sey door betoo
jo ghar sataye to yaad rakhna
mufarkat key taweel rastey meiN, tum akailey naheen ho
hum bhi tumhari aahat key humsafar haiN
tumaam aankheeN tumharey qadmooN ki muntazir haiN
tumaam seeney tumharey ghar haiN*
[This message has been edited by Rameesha (edited August 05, 2002).]
wah wah Masha’Allah Rameesha jii appkay kiyaa kahnay i always enjoying jo your post
![]()
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif
Insha’Allah i will post some Naghmay Tomorrow.
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
good kakiz…
thanx 4 posting te sharing…
God bless u all…
patriotic-baba
DerVaisH
Ai khuda jazba-e-ehsaas na bakhsha hota…
Acha hota ager pather ka tarasha hota…
Waja-e-tehQeer hon insanon mein insan ho ker…
Pather ka hota to inhe insanon ne pooja hota…
Gul thankoo & nazreeN pichhaye aap key our un naghmooN ki muntazir haiN hum :)
^DerVaisH^ baba hosla-afzaii ka shukria per aap bhi kochh apni zanbeel meiN sey nazr-e-dhaga kijiye naan :)
http://www.gupistan.com/gallery/1/Flag1.gif
yeh lain Rameesha jiii Waa’da kay Mutaabiq haazir hain:~)
~
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum sab ki hai pehchaan
Hum sabka Pakistan Pakisan Pakistan
Hum sabka Pakistan
*
Har diL ke ufaq par hay Chand ek Sitara ek
Hai kalma bhi wahid parcham bhi humara ek
Hum yak-dil hum yak jaan
Hum yak-dil hum yak jaan
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum sabka Pakistan Pakisan Pakistan
Hum sabka Pakistan
*
Ikhlas, Yaqeen, Tanzeem hai Millat ka manshoor
Har jaada-um-manzil par millat kay diL ka Noor
Allah, Nabi, Quran , Allah Nabi Quran
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum sabka Pakistan Pakisan Pakistan
Hum sabka Pakistan
*
Rehmat ki taraha sar par behno ki ridaain hain
Himmat kay liye humraah Maa‘on ki duaain hain
hum par Rab ka Ehsaan, hum par Rab ka Ehsaan
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum sab ki hai pehchaan
Hum sabka Pakistan Pakisan Pakistan
Hum sabka Pakistan
*
Islam kay Lashkar mein hain Qasim se farzand
Iss MulQ-o-Millat mein Bachay bhi karri qamand
Boorhe bhi jari kamaan, Boorhe bhi jari kamaan
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum sab ki hai pehchaan
Hum sabka Pakistan Pakisan Pakistan
Hum sabka Pakistan
*
in Millon, Mashinon kay sab pahiyey ghoomain gay
Mazdoor bhi hongay shaad,dahqaan bhi jhoomain gay
Sona dain gay kahaliyyan, Sona dain gay kahaliyyan
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum sab ki hai pehchaan
Hum sabka Pakistan Pakisan Pakistan
Hum sabka Pakistan
Pakistan Zindabad
thankoo Gul ... buhat peyara millinaghma paish kiya he :)
*Aye watan key sajiiley jawano, mery nagmey tumharey liye haiN
sarfaroshi he imaan tumhara, jurratooN key parestaar ho tum
jo hifazat karey sarhadooN ki woh falak-boos divar ho tum
aye shujaat key zinda nishanooN, mery naghmey tumharey liye haiN
Aye watan key sajeeley jawanooN mery naghmey tumharey liye haiN
biviooN, maooN, behnooN ki nazreeN tum ko dekheen to yooN jugmagaeeN
jaiey khamooshiooN ki zubaaN sey dey rahi hooN tum ko duaaeeN
qaum key aye jarri pasibanooN, mery naghmey tumharey liye haiN
Aye watan key sajeeley ja
Tum pe jo kochh likha shairooN ney, us meiN shamil he aawaz meri
urh key puhncho gey tum jistak sath jaye gi parwaz meri
chaand tarooN key aye paasibaooN, mery naghmey tumharey liye haiN
Aye watan key sajeeley jawanooN mery nagmey tumharey liye haiN*
~*~
Meri pehli hay pehchaan
Meri dharti pakistan,Meri izzat, meri aan
Meri chahat, meri jaan
Pakistan Pakistan
Roshan Raat hay raahain apni isskay Ujaalay say
Apni saari azaadi hay isskay hawaalay say
Mera iss pay hay Imaan,isski Azmat isski Shaan
Meri izzat, meri aan ,Meri chahat, meri jaan
Pakistan Pakistan
Ujli dhoop hai thandi chahoun isskay nazaaron mein
haryali hi haryaali hay isski bahaaron mein
isske parbat aur maidaan isskay dariya aur khaliyaan
Meri izzat, Meri aan ,Meri chahat, Meri jaan
Pakistan Pakistan
Iss say apnay pyaar ka naata amrr bana doon mein
Waqt paray tou isski khatir jaan luta doon mein
Aesey poora ho armaan iss pay tan man ho Qurbaan
Meri izzat, Meri aan ,Meri chahat, Meri jaan
Pakistan Pakistan
Meri pehli hay pehchaan
Meri dharti pakistan,Meri izzat, meri aan
Meri chahat, meri jaan
Pakistan Pakistan
Pakistan Zindabad
~DuniyaaN ki Mehfilon se ukta geya huun Ya-Rab
kya Lutf anjuman ka jab DiL hi bujh geya ho~
~
~kya Nazar dain jo koi Naie ArZoO karain
DiL mey tou Tootne kie bhie Himmat nahin rahi~
http://www.gupistan.com/gallery/1/Pakistanflag[1].jpg
*Is parcham key sayee taley hum eik haiN, hum eik haiN
sanjhi apni khushiyaaN our hum eik haiN, hum eik haiN
eik chaman key phool haiN sarey, eik gagan key tarey
eik samunder meiN girtey haiN sab daryaooN key dharey
judaa judaa haiN lehreeN sargam eik hhaiN, hum eik haiN
sanjhi apni khushiyaaN our hum eik haiN, hum eik haiN
Is parcham key saye taley hum eik haiN, hum eik haiN
Eik hi kashti key haiN musafir eik munzil key rahi
apni aan pe mitney waley hum jaaNbaaz sipahi
band muthi ki sorat baham hum eik haiN, hum eik haiN
sanjhi apni khushiyaaN our hum eik haiN, hum eik haiN
Is parcham key saye taley hum eik haiN, hum eik haiN
Pak watan ki izzat hum ko apni jaan sey pyari
apni shan he is key dam sey, yeh he aan hamari
apney watan meiN phool our shabnum eik haiN, hum eik haiN
sanjhi apni khushyaaN our hum eik haiN, hum eik haiN
Is parcham key saye taley hum eik haiN, hum eik haiN
wow…
I just keep coming back to this thread… ![]()
again people nice contributions…
rameesha Jee some wicked ones again…
btw:
I have readen two of them… ![]()
you will hear inshallah on 14th of august… ![]()
thanks for sharing…
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
boOl kE laB azAaD haYe teRe
JisM zubaaN ki MauT se pehle…
Hani housla-afzaii ka shukria … yoonhi aati raho ![]()
14th august ka shiddat sey intezar he Inshallah aap ko zaroor suneeN gey
*Hum zinda qoum haiN, hum painda qoum haiN
hum sab ki he pehchan, hum sab ka Pakistan
her dil key ufaq per he chaand eik, sitara eik
he kalma bhi wahid, parcham bhi hamara eik
hum yak dil, hum yakjaan,
ihlas kabhi tanzeem, he millat ka manshoor
her jada-o-manzil per millat key dil ka noor
Allah Nabi QuraaN
Hum zinda qoum haiN, hum painda qoum haiN
hum sab ki he pehchan, hum sab ka Pakistan
rehmat ki tarah sar per behnooN ki radaeen haiN
himmat key liye humraa maooN ki duaaeen haiN
hum per Rab ka ehsaan
Hum zinda qoum haiN, hum painda qoum haiN
hum sab ki he pehchan, hum sab ka Pakistan
islam key lashker meiN haiN Qasim sey farzand
is mulk-o-millat key bachey bhi karhi qumand
bhoorhey bhi karhi kumaan
Hum zinda qoum haiN, hum painda qoum haiN
hum sab ki he pehchan, hum sab ka Pakistan
in milloN mashinooN key sab payye ghoomeeN gey
mazdoor bhi hooN gey shaad , dehkaan bhi jhoomeeN gey
sona deeN gey khalyaaN
Hum zinda qoum haiN, hum painda qoum haiN
hum sab ki he pehchan, hum sab ka Pakistan*
Wayan dey rakhwaleyaaN dey naaN...
*Mereya dhool sipaya, tenooN Rab diyaaN rakhaaN
aj takdiyaaN tenooN sarey jag diyaaN akhaaN
Mereya dhool sipaya, tenooN Rab diyaaN rakhaaN
jidhar nazraaN paweeN, pehli vaar nasaweeN
jinaaN rawaaN tuuN jaweeN, jinaaN rawaaN tuuN aaweeN
unaaN rawaaN di mithi chummaN meri akhaaN
Mereya dhool sipaya, tenooN Rab diyaaN rakhaaN
dushman weriyaaN dey halley, apney teer dey thalley
jithey qadam jamaweeN, oothooN qadam nah halley
tery qadmaaN tuuN wari meriyaaN jiyaaN lakhaaN
Mereya dhool sipaya, tenooN Rab diyaaN rakhaaN
*
Gul aap kahaN haiN???