Iss daur main mey aur hai, jaam aur hai, jam aur
Saaqi nay bina ki rawish-e-lutfo karam aur
Tehzeeb kay A’zar nay tarashwaey sanam aur
Muslim nay bhi taameer kia apna haram aur
In taaza kudaaon main bara sub say watan hai
Iss ka jo pairhan hai, woh mazhab ka kafan hai