Watan Kay Naam

Is watan ka zara zara
Muj co jaan say pyara yaroo
Sabaaz safeed hai parcham is ka
Uper chand aur taaraa yaroo
Thandi thandi chootiyan is ke
Taptay taptay sehra yaroo
Unchay unchay pahar hain is kay
Ghannay ghannay hain jungal yaroo
Pani is ka itna shereen
Jesay Aabay kousr yaroo
Matti is ke kushbo hai asee
Jesay ho kastoori yaroo
Jee karta hai bahaa don is par
Khoon ka ik ik kattra yaroo
Jab tak jaan main jaan hai bilal
Aanch na ay is par yaroo :flower1:

:jhanda: