Wasi shah,.. tum meri ankh ke tevar na bhula paogi

**tum merii aaNkh ke tevar na bhulaa paaoge
ankahii baat ko samajhoge to yaad aoNgaa

ham ne Khushiyokii tarah dukh bhii ikaTThe dekhe
safaah-e-ziist ko palToge to yaad aoNgaa

isii andaaz meain hote the muKhaatib mujh se
Khat kisii aur ko likhoge to yaad aoNgaa

sard raaton ke mahakte hue sannaato main
jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aoNgaa

ab tere ashk main honto se churaa letaa hu
haath se Khud inhain ponchhoge to yaad aoNgaa

shaal pahanayegaa ab kaun disambar main tumhe
baarisho main kabhii bhiigoge to yaad aoNgaa

aaj tum mahafil-e-yaaraN pe ho maGhrur bohat
jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aoNgaa

haadse aayenge jiivan main to tum hoke niDhaal
kisii diivaar ko thaamoge to yaad aoNgaa

is main shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aoNgaa

**