*ye bhi mumkin haye kissie rooz na pehchaanu usse
wo jo har baar nayaa bhais badal leta haye
baarha mere yaaron ne kaha tha mujh se wasi
isq darya haye jo bachoun ko nighal leta haye
*
**andheeri raat me rehte to kitna acha tha
ham apni zaat me rehte to kitna acha tha
dukhoun ne baant liye haye tumhaare baad hamme
tumhaare haath me rehte to kitna acha tha
**
tumhaara naam likhne ki ijazat chin ghayi jab se
koyi bhi lafz liktha hoon, to aankhein bheegh jaati haye..
Kehtay ho ke bichray koi muddat nahee guzri
Lagta hai kabhi tum ne calendar nahee dekha*
and this one too…
**
Pagal Larki**
pehlay khat kay usnay
ik anjaanay khauf se
tukray tukray kar daalay
ab
aik haseen ehsaas kay taab’e
jiska koi naam naheen
pichlay kitnay hi ghantoo’n se
darwaazay ki oat main chup kar
tukray joar rahi hai… Pagal