**Malaal Usko Becharnay Ka Kuch To Howa Hoga
Kaha Na Hoga Kisi Say Kuch Bhi Suna To Hoga
Wasaal Lamhon Ka Aks Sochon Main Jab Bhi Jaga
Ye Hijar Aankhon Mein Rait Ban Kar Chuba To Hoga
Kabhi Kabhi To Hawa`ayn Aa Kar Pochti Hain
Wo Shaks Apna Bohat Hi Apna Laga To Hoga
UjaR Gaya Hay Gulaab Jesay To Kia Howa Phir
Yeh Dil Musafir Firaaq Rutt Ka Basa To Hoga
Wo Baad Muddat Mila To Pocha Udaas Q Ho
Kaha Jo Shulon Main Ghir Gaya Tha , Jala To Hoga
Wafa Ki Wadi Main Khaar Raaton Ko Jagtay Hain
Gulaab Rutt Say Qasoor Koi Howa To Hoga
Chalo Sitaaray To Saray Gairon Nay Baant Dalay
Batool Qismat Kay Pass Koi Dia To Hoga**