Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha
ay wada shikan khwaab dikhana hi nahi tha kyun pyaar kiya tha jo nibhana hi nahi tha
is tarha mere haath se daaman na chhudao dil tord ke jaana tha to,aana hi nahi tha
Allah! na milne ke bahane thay hazaron milne ke liye koi bahana hi nahi tha
dekho mere sar phord ke marne ki adaa bhi warna mujhe deewana banana hi nahi tha
rone ke liye sirf muhabbat hi nahi thi gham aur bhi thay dil ka fasana hi nahi tha
na hum sahi kehte na bani dil ki kahani ya gosh bar'aawaz zamana hi nahi tha
**Qaisar *koi aaya tha meri bakhya'gari ko* dekha toh garebaa ka thikana hi nahi tha
Awesome............very nice:)