yeh “aaj” jo kal mai zinda tha
woh “kal” jo aaj mai zinda hay
woh “kal” jo “kal” kay saath gaya
woh “kal” jo abhi aainda hay
guzar chukay aur aanay walay, jitnay “kal” hain, jitnay “kal” thay!
in ka koi wujood na hota
ham aur tum bay-ism hi rehtay
“aaj” agar mojood na hota
mumkin hay “aainda” sirf aik khwaab ho jis ki
ta’beeron mai jeenay wali saari aankhain doob chuki hon!
(laikin woh khud bujh kar bhi rakhshinda ho!)
ho sakta hay
“rafta” ki dehleez pay thehri
bhaid bhari iss aankh kay andar
chhupa huwa aainda ho!
“aainda” kay munh pay parri yeh ghaib ki chaadar
utth jaaey to ho sakta hay
iss mai hamara aur tumhara
aik ik lamha zinda ho
(roshan aur tabinda ho!)
laikin yeh bhi dheyaan mai rakhna
ho sakta hay aanay waalay kal mai hamaara “aaj” na ho
aur uss ki jagah
ik aisay waqt ka saaya saa raqsinda ho, jo
maazi, haal aur mustaqbil kay
teen kinaaron waalay iss darya say yaksir baahir ho
(aur kahin say janam ho uss ka - aur kahin pay zaahir ho!)
maazi, haal aur mustaqbil,
teen kinaaron waalay iss darya kay andar
apni apni mojain maartay chaltay hain
phir uss lehar mai dhaltay hain
jo subha-e-azl ko ucchli thi aur ab tak kaheen mua’allaq hay!
ussi mua’allaq lehar kay bay-khudd qatray hain ham,
ham aur ham say arbon, kharbon
(guzar chukay aur aanay waalay)
so, ay waqt ki hairat mai kho jaanay wali aankh - thehar!
“aaj” kay pul par rukk kar aagay peechay daikh
roshni aur taareeki shaayad, aik hi daal kay pattay hain!
lamhon ka yeh faraq nazar ka dhoka hay,
waqt ki iss “na-waqti” kay sailaab mai - shayad!
“aaj” hi waahid lamha hay!!
Umr-e-ravaan ki dehshat mai kho jaanay wali aankh - thehar!
A.I.A
ﻰﻫ ﻲﺘﻫﺭ ﻲﺗﻭﺭ ﺶﻫﺍﻮﺧ ﻱﻮﮐ ﺪﻳﺎﺷ
[This message has been edited by hayaa (edited July 11, 2002).]