waqt guzar jaata hay
rasta rasta bikhri
aankhain reh jaati hain
waqt guzar jaata hay
shama’ ghul jaati hay, khuwahish rul jaati hay
piyaar tarazu mai
aik nazar badlay, dunya tul jaati hay
matti mai uljhi
yaadain reh jaati hain
sailaab utar jaata hay
waqt guzar jaata hay
sangat bailon ki, piyaar kay khailon ki
log badalnay say
ik aan nahi ghaTti, yeh ronaq mailon ki
tanha tanha bujhti
sham’ain reh jaati hain
aur shu’la mar jaata hay
waqt guzar jaata hay
A.I.A
he walks around in circles in my head…