~Waqt~

**Waqt kitna zalim hay

Tumko cheen laita hay

Aur muskurata hay

Her lamhay teri khahish…

Dil main yeh jagata hay

Yeh waqt kitna zalim hay…

Tujh say milker aanay per..

Tujh say bicher janay per..

Khud he muskurata hay

Her lamhay satata hay…

Dil ko kyun darata hay?

Mujhko yeh batata hay…

Uss ko bhool jaoo tum

Wu tu ek saya hay…

Wu jahan say aaya hay

Waqt ka wu qaidi hay

Usko loat jana hay..

Mujhko loat aana hay…

Yeh tu wuh fasanna hay

Waqt nay sunnana hay…

Yeh waqt kitna zalim hay…

Fara
**

Re: ~Waqt~

:k:

Re: ~Waqt~

Wahhh…Bohat acha kaha hai or bohat wazan mein kaha hai…
Zabardast…keep it up… :k:



[Quote mein jis lafz ([COLOR=black]
Yeh) ko do baar black mein likha hai main ne, us ko hata dein to poori nazm wazan mein ho jaaye gi.]**


**Thanx alotttt for sharing.:slight_smile: **

Re: ~Waqt~

:k:

Re: ~Waqt~

Shukran Prince, Zamil and Jhukki Nigahein. Zamil I will do that... Thanks