Pyaar ka pehla khat likhney main waqt to lagtaa hai
Naye parindoN ko udney main waqt to lagtaa hai,
Jism ki baat nahin thi un ke dil tak jaana tha
Lambi doori taiy karne main waqt to lagtaa hai,
Gaanth agar lag jaye to phir rishtey hoN ya dori
Lakh karein koshish khulne main waqt to lagtaa hai,
Hum ne ilaaj-e-zakhm-e-dil to dhund liaa lekin
Gehrey zakhmoN ko bharney main waqt to lagtaa hai.