Waqt rukh nahin sakhta!!

Waqt ruk nahin saktaa
Umar beet jaati hay
Phir kaheen say Yadoon ki
Bheer lout aati hay
Dil kay aasmaanoon par
Jamghatthay sitaroon kay
Aur dil kay aangan main
Kaflay baharoon kay
Kitnay khoobsurat log
Mil kay phir bechhartay hain
Jis tarhan sitaroon kay
Zaaviaay bighartay hain
Aur un main kitnay he
Toottay hain girtay hain
Phool bhi tu mausam kay
Saath saath chaltay hain
Aur khizaan kay zalim haath
Unn ko phir masaltay hain
Waqt Ruk nahin sakta
Umar beet jaati hay
Waqt ki gahraee sub ko
Waqt say ghumaati hay
Silsilaa hay dunniya ka
Jis main hum bhi shamil hain
Jis maiN tum bhi shamel ho

Humein apni anaa azeez thee, tum thay apni khudi ke maaray
So jo hona thaa ho hi gaya, ab roye kya rulaayein kya
Tum se bichar kar bhi hum ne guzar hi li yeh zindagi
Guzarni thee so guzar gaee, kaise guzree bataaein kya !!!

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Humein apni anaa azeez thee, tum thay apni khudi ke maaray
So jo hona thaa ho hi gaya, ab roye kya rulaayein kya
Tum se bichar kar bhi hum ne guzar hi li yeh zindagi
Guzarni thee so guzar gaee, kaise guzree bataaein kya !!!
[/QUOTE]

:) jawab nahin well ap ko tu bataoon ka fun ata hai lafzoon k khel say ap bakhubi waqif hain kis say kia kehna hai kia nahin kehna !
aur yahi haal shayari main hai gr8!per tell me one thing kia logh aisay hi hotay hain sirf lazoon ka khel hi hota hai sab kuch !

jawab mein sirf itna kahonga ... !

Mein chaahata bhi yehi thaa, woh bewafa niklay
Ussay samajhne ka koi tau silsila niklay

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
jawab mein sirf itna kahonga ... !

Mein chaahata bhi yehi thaa, woh bewafa niklay
Ussay samajhne ka koi tau silsila niklay
[/QUOTE]

well ap k chahanay na chahanay say nahin hoga hoga wohi jo sarkar chahaiengey !! dont forget that dear!

Mere siwa koi itna udaas bhi na thaa
Khizaan ke chaand ko acha laga mera chehra
Kitaab khol raha thaa woh apne maazi ki
Warq warq per bikharta gaya mera chehra !!!

Re: Waqt rukh nahin sakhta!!

beautiful:k:

:k: bohat khoob thanks 4 sharin..:slight_smile:

:k: bhut zaberdast :slight_smile:

very nice :k:

wah ji wah bhut khoob:k:

Thanks nikki ,amal,nikami,chandoji and jaan lewa ji!
well jaan lewa ji ap k nick say tu woh gana yaad ata hai jaanlewa teri haar ada situm hai jaan lewa lolzzz ;)

haan tu arifji meray itni mayossi udaasi achi nahi be brave !
Hum woh nahin jo haar jaien kiya khayal hai ap ka ji?

:k: :k:

Wowwwwwwwwww, nice :k: