Lamhay
February 15, 2004, 2:47pm
1
**
“Jaan kar hum nay unhain na-meharbaan rehney diya”
Wo they is main khush tu un ko shad-maan rehney diya
hum nay chehrey pe jami sab dhol dho daali magar
Dil pe teri be-wafaai ka nishaan rehney diya
Hum nay un ko sonp deen chaahat ki saari garmiyaan
Aur apney aap ko shola-bajaan rehney diya
hum nay apney dil ki sab baagain thama deen theen usey
zehan-o fikr-o fehm ka per karvaan rehney diya
waqt nay tu thaan li thi hum ko khaak aster karey
per kisi ki yaad nay hum ko jawaan rehney diya
Shagufta
**
Lamhay … Bahut khoob :k:
**
Is ka rona nahee kyon tum ne kiya dil barbaad
Is ka gham hai ke bahut dair mein barbaad kiya
Mujh ko tu hosh nahee tum ko khabar ho shaayad
Log kehtay hain ke tum ne mujhe barbaad kiya…**
system
February 16, 2004, 9:59am
6
Re: Waqt nay tu thaan li thi hum ko khaak-aster karey...!!
[QUOTE]
hum nay chehrey pe jami sab dhol dho daali magar
Dil pe teri be-wafaai ka nishaan rehney diya
[/QUOTE]
beautiful :-))
Lamhay
February 16, 2004, 9:19pm
10
*Originally posted by zawanfira: *
Lamhay … Bahut khoob :k:
**
Is ka rona nahee kyon tum ne kiya dil barbaad
Is ka gham hai ke bahut dair mein barbaad kiya
Mujh ko tu hosh nahee tum ko khabar ho shaayad
Log kehtay hain ke tum ne mujhe barbaad kiya…**
Thanks zawan fira Sahib
**Terey Merey DarmiyaaN
Firaaq Ke Ye Lamhey
Har Chand Ke Mukhtasir To Hain Lekin
Dil To Har Pal Ka Hisaab Maangey Ga
Har Aek Aansoo Khiraaj Maangey Ga
Aankhain Sawal Poochain Gi
Har Khayal Jawab Maangey Ga
**
Lamhay
February 16, 2004, 9:21pm
12
Re: Re: Waqt nay tu thaan li thi hum ko khaak-aster karey...!!
[QUOTE]
Originally posted by * * Vivacious ***: *
beautiful :-))
[/QUOTE]
thanks Vivo!
Re: Waqt nay tu thaan li thi hum ko khaak-aster karey…!!
:k: