Waqt kya badla halaat badal jaate hain

Tum ho yahin

Mehsoos karti hun main

Jeena pad raha hai

Tumhare bin .shayad isliye

Har pal kishtoon me mar rahi hun main

Sabke saamne haste hue thak gayi hun main

Shayad isliye ..tanha hote hi

Aankhon me nami bhar rahi hun main

Kaate nahi kat ta ye waqt tere bagair

Shahyad isliye jaal dosti ka apne ird-gird bun rahi hun main

Waqt kya badla halaat badal jaate hain

Jo hain saath unke khayalat badal jaate hain

Apni zinda laash ko, un jaane pehchane

Cheron ki asliyat se wabasta kar rahi hun main

Jhokha hawa ka jab bhi chu kar jaata hai

Lagta hai ki tum ho

Yehi soch kar roz apne aap ko

Chhal rahi hun main .

Zindagi ne diya kabhi kuch bhi nahi

Bas le liya thoda bahut jo tha

Roz bas un gulaboon ko

Kaanton me se chun rahi hun main