Good lyrics!
waqt karta jo wafa
aap humarey hotay
hum bhi auron ki tarha
aap ko pyaarey hotay
apni taqdeer main pehley hee se kuch tou gham hain
aur kuch aap ki fitrat main wafa bhi kam hai
warna jeeti huee bazi tou na haarey hotay
hum bhi peyasay hain ye saki ko bata bhi na sakay
samney jaam tha aur jaam utha bhi na sakay
kash hum ghairaat-e-mehfil ke na maarey hotay
dum ghuta jata hai seeney main phir bhi zinda hain
tum se kya hum tou zindaghi se bhi sharminda hain
mar hee jatey na jo yaadon ke saharey hotay
hum bhi auron ki tarha
aap ko pyaarey hotay