Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

Aankh se door na ho dil se utar jayega
Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

Itna maanuus na ho Khilvat-e-Gham se apni
Tu kabhi Khud ko bhi dekhega to darr jayega

Tum sar-e-raah-e-wafaa dekhte rah jaaoge
Aur woh baam-e-rafaaqat se utar jayega

Zindagii teri ataa hai to ye jaan’ne wala
Terii baKhshiish terii dehleez pe dhar jaaega

Doobte Doobte kashtii to ochhaalaa de doon
Main nahi koi to saahil pe utar jayega

Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa ‘Faraz’
Zalim ab ke bhi na royega to mar jayega

Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

One of my fvt :hinna:

Re: Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

which shair?

Re: Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

Behtareen

Everytime I read this , it reminds me of yester years ..all the people I loved ..all those who left me when my life wozze in doldrums..
Makes me cry.

Re: Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

Aankh se door na ho dil se utar jayega
Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

Beautiful

Re: Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa ‘Faraz’
Zalim ab ke bhi na royega to mar jayega

merne se pehly hi kuch bol de :aj:

BOL RANJHA BOL :pullhair:

Re: Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

Bol Radha bol

Re: Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

:hmmm: R SE ORRRR KIA ???

BOL RANA BOL

uska to jab mu khulta hy :mad3:

Re: Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

rana ji pehle to mehv e hairat tha: rana ji maaf karna wali ki hakaten dekh kar. ab hosh aa gaya hai. PA main bhi pange leta hai. life1 ki bhi ser karani pade gi use

Re: Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

R se Romeo baby. bol Romeo bol :hehe:

Re: Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

Aisa dihkta hai kya


Restored attachments: